BIHAMDILLAH ABDULLAH KA NOOR-E-NAZAR AAYA LYRICS
BiHamdillah Abdullah Ka Noor-e-Nazar Aaya
Mubaarak Aamina Ka Noor-e-Dil Lakht-e-Jigar Aaya
Ye ‘Abdul Muttalib Ki Khoobi e Qismat Ke Un Ke Ghar
Charaag-e-Laa-makaañ, Kaun-o-Makaañ Ka Taajwar Aaya
Wo Khatm-ul-Ambiya Tashreef Farmaa Hone Waale Haiñ
Nabi Har Ek Pehle Se Sunaata Ye Khabar Aaya
Rabi-e-Paak Tujh Par Ahl-e-Sunnat Kyuñ Na Qurbaañ Hoñ
Ke Teri Baarhawiñ Taareekh Wo Jaan-e-Qamar Aaya
Huwe Jab Jalwa Farma Shaah-e-Zeeshaañ Bazm-e-Dunya Meiñ
Har Ik Qudsi Falak Se Behr-e-Paa Bosi Utar Aaya
Jhuka Jaata Hai Sajde Ke Liye Is Waaste Ka’ba
Ke Masjood-e-Malaa-ik Aaj Is Meiñ Jalwa Gar Aaya
Na Kyuñ Tanhaa Kare Farmaañ-rawaai Haft Kishwar Par
Ke Ham-raahi Meiñ Apni Le Ke Wo Fat-h-o-Zafar Aaya
Kahaanat Mit Gayi Bilkul Ke Ab Wo Mukhbar-e-Saadiq
Bi FadliLlah Ik Ik Baat Ki Dene Khabar Aaya
‘Uloom Awwaleeñ-o-Aakhreeñ Haiñ Jis Ke Seene Meiñ
Khabar Hai Zarre Zarre Ki Jise Wo Baa-khabar Aaya
Nifaaq-e-Jaahiliyat Se Kaho Ab Muñh Chhupa Baithe
Qabaail Ko Wo Karne Ke Liye Sheer-o-Shakar Aaya
Shab-e-Milaad-e-Aqdas Thi Masarrat Zarre Zarre Ko
Magar Iblees Apne Saathiyoñ Meiñ Nohaa-gar Aaya
Zameeñ Boli Ke But-khaane Se Paak-o-Saaf Hoti Hooñ
Nida Ka’be Se Utthi Ab Mera Maqsood Bar Aaya
Gunahgaaro ! Kidhar Ho Fard-e-‘Isyaañ Apni Dho Daalo
Rasoolullah ﷺ Ka Darya-e-Rahmat Josh Par Aaya
Chalo Ae Mufliso ! Jo Aaj Maañgoge Wo Paaoge
Ke Sadqa Baañta Arz-o-Samaa Ka Taajwar Aaya
Hukoomat Aisi Naafiz Hai Ke Un Ka Hukm Paate Hi
‘Ali Ke Waaste Maghrib Se Sooraj Laut Kar Aaya
Diya Hukm-e-Huzoori Jis Ghadi Saarkar-e-Waala Ne
Zameeñ Ko Cheerta Sajda Kunaañ Fauran Shajar Aaya
Kaho Har Roz Kitni Baar Tum Yaad Us Ki Karte Ho
Khayaal-e-Ummat-e-‘Aasi Jise Aathoñ Pahar Aaya
Ye Keh Utthuñ Wo Meri Qabr Meiñ Jab Jalwa Farma Ho
Tu Hat Jaa Zulmat-e-Marqad Ke Wo Jaan-e-Qamar Aaya
Wahaabi Mahfil-e-Aqdas Meiñ Gar Aeye To Yun Samjhoo
Ke Insaanoñ Meiñ Kufri Bojh Laade Jaise Khar Aaya
Jameel-e-Qaadiri Jab Sabz Gumbad Un Ka Dekhooñga
To Samajhooñga Meri Nakhl-e-Tamanna Meiñ Samar Aaya