Nasheed

WASF E RUKH UNKA KIYA KARTE HAI LYRICS

Wasfe Rukh Unka Kiya Karte Hai

Wasfe rukh unka kiya karte hai,
Sharh-e-wash-shams-o-zuha karte hai,
Unki hum maddh-o-sana karte hai,
Jinko Mahmood kaha karte hai.

Maahe shak gashta ki soorat dekho,
Kaap kar mehr ki raj’at dekho,
Mustafa pyare ki qudrat dekho,
Kaise aijaz hua karte hai.

Tu hai khursheed-e-risalat pyare,
Chup gaye teri ziya mein taare,
Ambiya aur hai sab mah-paare,
Tujhse hi noor liya karte hai.

Ai balaa be khirdi-e-kuffar,
Rakhte hai aise ke haq se inkaar,
Ki gawahi ho gar usko darkaar,
Be zubaan bol utha karte hai.

Apne Maula ki hai bas shaan-e-azeem,
Jaanwar bhi kare jinki ta’azeem,
Sang karte hai adab se tasleem,
Ped sajde mein gira karte hai.

Rif’ate zikr hai tera hissa,
Dono aalam mein hai tera charcha,
Murge firdous pas az hamd-e-Khuda,
Teri hi maddh-o-sana karte hai.

Ungliya paayi wo pyari-pyari,
Jinse dariya-e-karam hai jaari,
Josh par aati hai jab ghamkhwari,
Tishne sairaab hua karte hai.

Haan yahi karti hai chidiyan fariyaad,
Haan yahi chahti hai hirni daad,
Isi darr par shutrane-nashaad,
Gil-e-ranj-o-ana karte hai.

Aasti rehmat-e-aalam ulte,
Kamare paak pe daaman baandhe,
Girne waalo ko kucha-e-dozakh se,
Saaf alag kheench liya karte hai.

Jab sabaa aati hai Taibah se idhar,
Khilkhila padti hai kaliyan yaksar,
Phool jaama se nikal kar baahar,
Rukh-e-rangi ki sana karte hai.

Tu hai wo badshah-e-kaun-o-maka,
Ki malak haft falak ke har aa(n),
Tere Maula se shahe arsh aywa,
Teri daulat ki dua karte hai.

Jiske jalwe se Uhud hai taba(n),
Ma’adane noor hai uska damaa(n),
Hum bhi us chand pe ho kar kurbaa(n),
Dil-e-sangi ki jila karte hai.

Kyon na zeba ho tujhse taajwari,
Tere hi dam ki hai sab jalwa gari,
Malako, jinno, bashar, hurro-pari,
Jaan sab tujh pe fida karte hai.

Toot padti hai balaye jin par,
Jinko milta nahi koi yaawar,
Har taraf se wo pur armaa(n),
Fir kar unke daaman mein chupa karte hai.

Lab par aa jaata hai naam-e-janaab,
Muh mein ghul jaata hai shahd-e-nayaab,
Wajd mein ho ke hum ai jaan betaab,
Apne lab choom liya karte hai.

Lab pe kis muh se ghum-e-ulfat laye,
Kya bala dil hai alam jiska sunaye,
Hum to unke kafe-paa par mitt jaye,
Unke darr par jo mita karte hai.

Apne dil ka hai unhi se aaram,
Soupe hai apne unhi ko sab kaam,
Lou lagi hai ke ab us darr ke ghulaam,
Chara-e-dard-e-Raza karte hai.

Related Articles

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

2 × four =

Back to top button