Nasheed

AA GAYE MAIDAN MAIN WAFADAR E SAHABA LYRICS

AA GAYE MAIDAN MAIN WAFADAR E SAHABA
LO AAGAYE MAIDAN MAIN WAFADAR E SAHABA

HAIN MERI JAAN (SAHABA),
HE MERI AAN (SAHABA),
HE MERI SHAAN (SAHABA),
MERI PEHCHAAN (SAHABA)

IZZAT KA HE HAQDAR WAFADAAR E SAHABA
ZILAT KA SAZAWAAR HAI GHADAR E SAHABA
AAQA KE SAHABA HAIN PYARE SAHABA
SAHABA SAHABA HAMARE SAHABA

NABI CHAND HAIN OR SITARE SAHABA

SIDDIQ KI TOHEEN BHALA KESE SUNE HUM
SIDDIQ TO HAI BESHAK SARDAR E SAHABA

IZZAT KA HAI HAQDAR WAFADAAR E SAHABA
SAHABA KE GHULAM ZINDA HAIN!

BATIL KE SAR KO TAN SAY JUDA KAR KE RAKH DIYA
MASH’HOOR HAIN JAHAN MAIN TALWAAR E SAHABA
IZZAT KA HAI HAQDAR WAFADAR E SAHABA

ANDHAY DILON KO JISNE DI IMAAN KI CHAMAK
BEMISAL O LAJAWAB THI GUFTAAR E SAHABA

IZZAT KA HE HAQDAR WAFADAAR E SAHABA

NABI CHAND HAIN OR SITAREY SAHABA
SEERAT HAI INKI SEERAT E SARKAR E DO AALAM
ALLAH KO PASAND HAI KIRDAAR E SAHABA

AA GAYE MAIDAN MAIN WAFADAAR E SAHABA
LO AAGAYE MAIDAN MAIN WAFADAAR E SAHABA

KARTE HAIN NAAZ IS PAY KHUDA KAY MALAIKA
HASIL HAI JIS BASHAR KO BHI DEEDAR E SAHABA

IZZAT KA HAI HAQDAR WAFADAR E SAHABA

UNKAY LIYE TO ULFAT E IBLEES BOHAT HAI
HUM TO BANAU HUYE HAIN TALABGAAR E SAHABA

HAI MERI JAAN (SAHABA),
HAI MERI AAN (SAHABA),
HAI MERI SHAAN (SAHABA),
MERI PEHCHAAN (SAHABA)

IZZAT KA HAI HAQDAR WAFADAR E SAHABA

AS’HABI KANUJOOM KA MUJDA INHE MILA
KESE BATAON AAPKO MAYAAR E SAHABA

IZZAT KA HE HAQDAR WAFADAAR E SAHABA
NABI CHAND HAIN OR SITARE SAHABA

ALLAH KO HE PYAR SAHABA KE AMAL SAY
DEKHO TO ZARA MUNKIRO WAQAR E SAHABA

IZZAT KA HE HAQDAR WAFADAAR E SAHABA

MERE MUAWIA PAY NA SHAB O SITAM KRO
BESHAK MUAWIA HAIN WAFADAAR E SAHABA

IZZAT KA HE HAQDAR WAFADAAR E SAHABA

ASIM PARHE GA JHOOM KE NAGMAIN SALAM KE
JAB KE LAGE GA HASHAR MAIN DARBAR E SAHABA

AA GAYE MAIDAN MAIN WAFADAR E SAHABA
LO AAGAYE MAIDAN MAIN WAFADAR E SAHABA

HAI MERI JAAN (SAHABA),
HAI MERI AAN (SAHABA),
HAI MERI SHAAN (SAHABA),
MERI PEHCHAAN (SAHABA)
SHAN E SAHABA,
HUB E SAHABA,
BHARTA RAHA HAI, BHARTA RAHE GA

IZZAT KA HAI HAQDAR WAFADAR E SAHABA
NABI CHAND HAIN OR SITARE SAHABA!

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

20 + twelve =

Back to top button