AAGAYE SARKAR MERE AAGAYE LYRICS
*Aagaye Sarkar Mere Aa Gaye*
*Har taraf abr-e-baharaan chha gaye*
*Roshni phaili hai jin ki Arsh tak*
*Woh Zia-e-Aalam-Aara aa gaye*
*Bi Halima ka naseeba marhaba*
*Jin ki kutya Sayyed-e-Batha gaye*
*Aaj hai masroor khalqat is liye*
*Jaan-e-Aadam Jaan-e-E’esa aa gaye*
*Har ilaqa har gali kyun na saje*
*Aaj Mahboob-e-Ta’ala aa gaye*
*Nabz-e-aalam jaise ke tham si gayi*
*Chhor kar aalam ko jab Aaqa gaye*
*Koi pohnche Toor ko koi charkh tak*
*Mere Aaqa Arsh se baala gaye*
*Aap ka saani nahi saaya nahi*
*Yakta hi aaye the aur yakta gaye*
*Kyun na hoon hum shaadmaan aye Najdiya*
*Hum aseeron ke sahaara aa gaye*
*Kya likhe koi tumhare khulq par*
*Qalb-e-a’da ko bhi jab tum bha gaye*
*Aap ne jis ko nawaza, bol utha*
*Maanga tha qatra baha darya gaye*
*Eid’on ki hai Eid beshak Barhween*
*Aala Hazrat hum ko yeh batla gaye*
*Jashn-e-aamad jab kiya Ayyub ne*
*Najdiyon ke chehre kyun murjha gaye*
✍️ *Muhammad Ayyub Raza Amjadi, Kolkata*