Nasheed

Aisa Tujhe Khaliq Ne Tarahdaar Banaya LYRICS

Aisa Tujhe Khaliq Ne Tarahdaar Banaya

Yusuf Ko Tera Taalibe Dedaar Banaya


Tal’at Se Zamane Ko Pur Anwaar Banaya

Nikhat Se Gali Kucho Ko Gulzaar Banaya


Deewaro Ko Aaina Banate Hai Wo Jalwe

Aaino Ko Jin Jalwo Ne Deewar Banaya


Aye Nazme Risalat Ke Chamakte Hue Makte

Tune Hi Use Matlaaye Anwaar Banaya


Kaunain Banaye Gaye Sarkar Ki Khatir

Kounain Ki Khatir Tumhe Sarkar Banaya


Kunji Tumhe Di Apne Khazano Ki Khuda Ne

Mehboob Kiya Maalik O Mukhtaar Banaya


Allah Ki Rehmat Hai Ke Aise Ki Ye Kismat

Aasi Ka Tumhe Haami O Gamkhaar Banaya


Aainaye Zaate Ahadi Aaphi Thehre

Wo Husn Diya Aisa Tarahdaar Banaya


Anwaar Tajalli Se Wo Kuch Hairate Chaayi

Sab Aaino Ko Pusht Badewaar Banaya


Aalam Ke Salateen Bhikari Hai Bhikari

Sarkar Banaya Tumhe Sarkar Banaya


Ye Lazzate Pa Bos Ke Paththar Ne Jigar Me

Nakshe Qadame Sayyed E Abrar Banaya


Khuddam To Bande Hai Tere Husne Khalk Ke

Pyare Tujhe Badkharo Ka Gamkhaar Banaya


Be Parda Wo Jab Khaak Nasheeno Me Nikal Aaye

Har Zarre Ko Khursheede Pur Anwaar Banaya


Aye Maahe Arab Mehre Ajam Mai Tere Sadqe

Zulmat Ne Mere Din Ko Shabe Taar Banaya


Lillah Karam Mere Bhi Veeranaye Dil Par

Sehra Ko Tere Husn Ne Gulzaar Banaya


Allah Ta’ala Bhi Hua Uska Tarafdaar

Sarkar Tumhe Jisne Tarafdaar Banaya


Gulzaar Jinaa Tere Liye Haq Ne Banaaye

Apne Liye Tera Gule Gulzaar Banaya


Be Yaar O Madadgaar Jinhe Koi Na Pooche

Aiso Ka Tujhe Yaar O Madadgaar Banaya


Har Baat Bad Amaliyon Se Maine Hai Bigaadi

Aur Tumne Meri Bigdi Ko Har Baar Banaya


Us Jalwaaye Rangeen Ka Tasadduk Tha Ke Jisne

Firdaus Ke Har Takht Ko Gulzaar Banaya


Us Roohe Mujassam Ke Tabarruk Ne Masiha

Jaan Bakhsh Tumhe Yu Dame Guftaar Banaya


Us Chehraye Pur Noor Ki Wo Bheek Thi Jisne

Mehrooma Wo Anjum Ko Pur Anwaar Banaya


Un Haatho Ka Jalwa Tha Ye Aye Hazrat E Moosa

Jisne Yadi Biza Ko Ziya Baar Banaya


Unke Labe Rangi Ki Nichawar Thi Wo Jisne

Paththar Me Husn Laalaye E Pur Anwaar Banaya

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

four × 2 =

Back to top button