ALMADAD PEERANE PEER (WITH NEW ASHAR) LYRICS
Rutba Ye Wilayat Me Kya Gaus Ne Paaya Hai
ALLAH Ne Waliyon Ka Sardar Banaya Hai
Hai Dast E Ali Sar Par Hasnain Ka Saaya Hai
Mere Gause Ne Thokar Me Murdon Ko Jeelaya Hai
Almadad Peerane Peer Gaus Ul Azam Dastageer
Lakho Ne Usi Dar Se Taqdeer Bana Lee Hai
Bagdadi Sawarya Ki Har Baat Nirali Hai
Doobi Hui Kashti Bhi Darya Se Nikali Hai
Ye Name Adab Se Lo Ye Name Jalali Hai
Almadad Peerane Peer Gaus Ul Azam Dastageer
Har Fiqr Se Tum Ho kar Azad Chale Jao
Ye Kar Ke Labon Pe Tum Faryad Chale Jao
Milna Hai Agar Tum Ko Waliyon ke Shehansha Se
Khwaja Se Izazat Lo Bagdad Chale Jao
Almadad Peerane Peer Gaus Ul Azam Dastageer
Milne Ko Shamma Se Ye Parwana Tadapta Hai
Kismat Ke Andhero Me Din Raat Bhatakta Hai
Is Ishq E Haqiqi Me itna Tho Asar Aye
Jab Band Karu Aankhe Bagdad Nazar Aye
Almadad Peerane Peer Gaus Ul Azam Dastageer
Yaa Gous Karam Kardo Yaa Gause Karam Kardo
Ab Deen Ki Daulat Se Daman Ko Meri Bhar do
Bus Itni Guzarish Hai Bus Ek Nazar Kar Do
Bagdad Ki Galiyon Me Chota Sa Mujhe Ghar Do
Ya Gous Pelestin Par Ab Nazre Karam Kardo
Fitnaye Yahudi ka Ab Sar ko Kalam Kardo
Aada Ki Nigahe Hai Fir Masjid e Aqsa Par
Ab Dushmane Aqsa Ko duniya se khatam kardo
Almadad Peerane Peer Gaus Ul Azam Dastageer
Ek baar Bulaya Hai Har Baar Bulayenge
Is Saal Yakeenan Hum Baghdad Ko Jayenge
Bachpan se meri Maa Ne Mujhko ye Sikhaya Hai
Aaye Jab Koi Mushkil Ya Gous Pukara Kar
Qur’an Ke Ayat Ki Tafseer Hai Gous e Paak
Allah se Judne Ki Zanjeer Hai Gous e Paak
Arbabe Wilayat ke bhi Peer Hai Gous e Paak
Sultane Madina ki Tasveer Hai Gous e Paak
Mere Gous Piya Pal me Murdo Ko Jilate Hai aur Choro ko bhi pal me Abdaal banate hai
Goya ke Wahabi ke Ayewan ko Dhate Hai
Jab Gous ke Deewane Mehfil ko Sajate Hai
Andaaz bayaan un ka ham kar nahi. paayenge
Ajmer se ho kar ham Bagdaad ko jayenge
Jab aaye bala ham par ham un ko bulayenge
Tum dil se sada to do Wo hath Badhayenge
Jab Gous ke Roze par sar Mera jhukha hoga
Gulshan meri Qismat ka bhar char ke hara hoga
Gardish me Nisar apni Qismat ka Sitara hai
Ya Gous karam kardo Mangta ye Tumhara hai
Uncha hai Kiya Rab ne Rutba shahe Jeelan Ka
Hai Charsu Aalam me Charcha Shahe Jeelan Ka
Duniya ke Masaib se Ghabrata nahi Hargeez
Naara ye Lagata hai Shaida Shahe Jeelan Ka
Maula ki Inayat se Jo Gous ka Mangta hai
Ye Baat Hikikat hai Har Waqt wo kehta hai
Baghdad ki Galiyon me Khushboo hai Madine ki
Waliyon ke Shahanshah ka Darbar Mahekta hai
Mil Jao Raza Khan se Kismat ko Jaga Denge
Wo Shahre Bareily se ek Tumko Pata Denge
Ajmer chale jao Baghdad dikha denge
Fir Gous Piya mere Aaqa se Mila denge
Aau Teri Chaukhat par me Kash Mukaddar se
Badh jaye mera Rutba phir dhara Sikandar se
Bin Mange meri Jholi ek Aan me bhar jaye
Khairat Madine ki Milti hai Tere Dar se
Allah ki rehmat se Waliyo ke wali tum ho
Zehra ke Gulistan ke pur lutf kali tum ho
Ho pyare nabi ke tum aur Ibn e Ali tum ho
Baghdad ke Wali ho aur Ghaus e Jali tum ho
Murdo ko Jilaya hai Kashti ko Tiraya hai
Ek Pal me Gada ko bhi Sultan Banaya hai
Rahzan ko Wilayat ke Mansab pe Bithaya hai
Aye Ghaus e Jali Tune Aijaz ye Paya hai
Tufan me Kashti se Sahil pe Laga Dijiye
Sadqe me Muhammad ke Bigdi bhi Bana Dijiye
Ek Umr se Hasrat hai Seene me Mita Dijiye
Baghdad Bula Lijiye Dar Apna Dikha dijiye
Deewana e Gous ka Andaz Nirala hai
Inke hi Sadqe me har Samt Ujala hai
Mere Misri Shah Baba To Sabse Nirale hai
Baghdad ka Ek Moti use Yaha nikale hai
Almadad Peerane Peer Gaus Ul Azam Dastageer