History

Babri Masjid Aur Ram Mandir Ka Asli Waqiya

Babri Masjid Aur Ram Mandir Ka Asli wakiya 1857 Ke Baad Shuru Hua Hai. 1850 Aur 1853 Ke Beech Ek-Aadh Mauqa Aata Hai, Jab Ayodhya Mein Rehne Wale Hindu Aur Musalman Mazhabi Aur Deeni Buniyad Par Aapas Mein Takraa Jate Hain! Ye Takraav Hanuman Garhi Ke Paas Maujood Masjid Ko Lekar Hota Hai! Isi Beech Babri Masjid Bhi Hinsa Ke Zid Mein Aati Hai! Ye Maamla Us Waqt Shaant Ho Jata Hai Jab Hanuman Garhi Mandir Ke Pujari Mahant Baba Ram Charan Das Aur Ayodhya Ke Hi Ek Sufi Maulvi Ameer Ali Mil Baith Kar Is Maamle Ko Suljha Dete Hain!

In Dono Mein Samjhauta Hua Ke Jaisa Chal Raha Hai, Waisa Hi Chalega! Koi Mandir Masjid Ka Jhagda Nahi Hoga. Jo Jahan Ibadat Kar Rahe Hain, Wahin Karenge. 1857 Ke Inqilab Ke Wifaq Hone Tak Is Samjhaute Par Log Tike Rahe.

1857 Ke Baad Awadh Sahit Pure Hindustan Par Angrezon Ka Qabza Ho Gaya. 1857 Ke Inqilab Mein Awadh Ne Begum Hazrat Mahal Aur Ahmadullah Shah Faizabadi Ki Qayadat Mein Barh Chadh Kar Hissa Liya Tha. Hindu Musalman Hindustan Mein Apne Mazhab Ko Bachane Ke Liye Saath Lade The. Par Haar Gaye.



Hua Kuch Yun Ke Chinhat Ki Ladai 30 June, 1857 Ko Angrezon Aur Inqilabiyon Ke Beech, Chinhat Jo Ke Lucknow Ke Paas Hai, Mein Ladi Gayi Thi. Angrezon Ka Qiyadat Henry Lawrence Ne Kiya Tha. Inqilabi Barkat Ahmad Ki Qayadat Mein Lad Rahe The; Ye Ladai Inqilabiyon Ne Jeeti Thi, Angrezon Ka Commander Henry Lawrence Tak Maara Gaya. Jiske Baad Inqilabi Jinmein Sadhu Aur Maulvi Ki Ek Badi Tadaad Thi Lagatar Mukhtalif Maqamat Ko Jeette Huye Aage Barhte Rahe. March 1858 Tak Ayodhya Sheher Angrezon Se Azaad Raha Aur 3 March 1858 Ko Angrezon Ne Pehle Lucknow Ko Jeeta Phir 17 March 1858 Ko Faizabad Bhi Unke Haath Mein Chala Gaya Aur Phir Unhone Chun Chun Kar Badla Lena Shuru Kiya. 18 March 1858 Ko Mahant Ram Charan Das, Maulvi Ameer Ali, Achhan Khan Sahit Kai Inqilabiyon Ko Kuber Teela Ke Paas Maujood Ek Ped Par Latka Kar Faansi Ke Fande Par Chadha Diya. Pandit Shambhu Prasad Shukla Jo Ke Vasudev Ghat Ke Pujari The Aur Ayodhya Mein Inqilabiyon Ko Lead Kar Rahe The; Ne 2 August 1858 Ko Is Jagah Kuber Teela Ke Paas Maujood Us Ped Ke Roop Mein Ek “Hindu Muslim Ekta Samadhi” Apne Shaheed Hue Saathiyon Ki Yaad Mein Banane Ki Koshish Ki Aur Ek Baar Phir Kisano Ki Madad Se Angrezon Ke Khilaf Morcha Khol Diya. Badi Tadaad Mein Inqilabi Shaheed Hue Aur Pandit Shambhu Prasad Shukla Giriftar Kar Liye Gaye Aur Unhe 13 November 1858 Ko Faansi Ke Fande Par Latka Diya Gaya. Aur Saath Hi Us Ped Ko Bhi Kaat Diya Gaya Jise Samadhi Ka Roop Diya Gaya Tha.

Related Articles


Ye Angrezon Ke Liye Khatre Ki Ghanti Thi; Hindu Muslim Ek Dusre Ki Khatir Jaan De Rahe The, Yahan Tak Ke Babri Masjid Bhi Dene Ko Tayyar Ho Gaye. Kai Kitaabon Ke Hawale Se Padhne Ko Milta Hai Ke Ayodhya Ke Musalman Hindu Muslim Ekta Ki Buniyad Par Babri Masjid Ka Ek Bara Hissa 1857 Mein Hinduo Ke Hawale Karne Ko Tayyar The. Kai Jagah Ye Bhi Milta Hai Ke Unhone Hinduo Ke Hawale Kar Bhi Diya Tha. Khaas Kar Bahar Ka Sehan.



Waise Bhi Ayodhya Ki Babri Masjid Aur Ram Janm Bhoomi Ayodhya Sheher Ka Maamla Tha, Bahari Logon Ka Nahi. Kyun Ke Na To Babri Masjid Mein Bahar Ke Musalman Ibadat Karne Jate The Aur Na Hi Ayodhya Ke Bahar Ke Hindu Khaas Kar Us Jagah Puja Karne Jate; Par Bahut Hi Shatirana Dhang Se Ise Hindustan Ka Sabse Bara Mudda Angrezon Ne Banaya Aur Phir Kya Hua Sabko Pata Hai!

Angrezon Ne Ayodhya Par Qabza Karne Ke Baad Mandir Ke Mahant Aur Masjid Ke Imam Tak Ko Sooli Par Latka Diya. Aur Phir Apne Log Ko Mahant Aur Imam Qarar Kar Diya. In Logon Ne Pehle Hue Mahant Baba Ram Charan Das Aur Maulvi Ameer Ali Ke Beech Ke Samjhaute Ko Kude Ki Dher Mein Phek Diya Aur Shuru Kar Di Mandir Aur Masjid Ki Ladai!

Hinduo Aur Musalmanon Mein Futo Dalne Ke Liye Babri Masjid Ke Aahate Mein Baddale Gaye Aur Is Tarah Angrezon Ki “Foot Dal – Raaj Karo” Ki Sazish Apne Urooj Par Pahunchi Jiska Asar Aaj Tak Hum Dekh Rahe Hain!

Kyun Ke Ab Agar Mahant Baba Ram Charan Das Aur Maulvi Ameer Ali Aa Bhi Jayen To Babri Masjid Ke Qatil Ko Saza Mile Bina Koi Insaf, Samjhauta Aur Sulah Nahi Ho Sakta; Baqi Hathdharmi Hi Ho Sakti Hai, Jo Har 6 December Ko Shaurya Diwas Ke Roop Mein Dikhta Hai.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

3 + two =

Back to top button