DUROOD E AHLE BAIT WITH (NEW ASHAR)LYRICS

Allahumma salli-‘ala sayyidina wa maulana muhammad
Wa ‘ala sayyidina ‘aliyyi-wwa-sayyidatina faatima
Wa sayyidatina zainab wa sayyidina hasan wa sayyidina husain
Wa ‘ala aalihi wa sahbihi wa baarik wa sallim
Allahumma salli-‘ala sayyidina wa maulana muhammad
Allahumma salli-‘ala sayyidina wa maulana muhammad
Allah ke liye hai Gule Hamd o Bandagi
Jis ne Hume ATA kiya Imaan o Zindagi
Quran ne bataya ke Imaan hai Huzoor
Aur Imaan ye Keh raha hai Meri Jaan hai Huzoor
Pyaare nabi ki zaat par rab ka durood hai
Sultaan-e-do-jahaan par sab ka durood hai
Allahumma salli-‘ala sayyidina wa maulana muhammad
Allahumma salli-‘ala sayyidina wa maulana muhammad
Ya umm-e-abeeha ! ya umm-e-fabeeha !
Ya ashrafunnisa ! ya faatima zahra !
Ya sayyida ! ya zahra !
Zahra pe bhejte jo durood-o-salaam hai.n
Wo sachche Gulaam-e-mustafa hai.n, nek naam hai.n
Allahumma salli-‘ala sayyidina wa maulana muhammad
Allahumma salli-‘ala sayyidina wa maulana Muhammad
Allah ke sher haidar-e-karraar par durood
Hazrat hasan-husain ke kirdaar par durood
Allahumma salli-‘ala sayyidina wa maulana muhammad
Allahumma salli-‘ala sayyidina wa maulana muhammad
Zainab ki baargaah me.n salaam-e-niyaaz hai
Jo murtaza ki laaDli, zahra ka naaz hai
Allahumma salli-‘ala sayyidina wa maulana muhammad
Allahumma salli-‘ala sayyidina wa maulana muhammad
SULTAN E KAINAAT KE CHAARO HAI JANASHEEN ISLAM KE SUTOON HAI KHULFA E RASHIDEEN
Ankho se Auliya Male Jis Astaan Ki Khaq
Sarkar ke wo Ladle Bete hai Gous e Paak
RAB KE KARAM SE AAJ BHI RAJA E HIND HAI MAULA ALI KE LAAL JO KHAWAJA E HIND HAI
NAAT E NABI SE AAP YUN ZEESHAN HOGAYE AHMAD RAZA SE HIND KE HASSAN HOGAYE
Jannat me.n faatima ki kaneeze.n jahaa.n rahe.n
Ya rab ! meri du’aa hai meri maa.n wahaa.n rahe.n
Allahumma salli-‘ala sayyidina wa maulana muhammad
Allahumma salli-‘ala sayyidina wa maulana muhammad
Jannat me.n mustafa ke sahaaba jahaa.n rahe.n
Ya rab ! meri du’aa hai mere baaba wahaa.n rahe.n
Allahumma salli-‘ala sayyidina wa maulana muhammad
Allahumma salli-‘ala sayyidina wa maulana muhammad
Padhte hain gar durood to milta sawaab hai
Bheje agar salaam to aata jawaab hai
Allahumma salli-‘ala sayyidina wa maulana muhammad
Wa ‘ala sayyidina aliyyi-wa-sayyidatina faatima