Nasheed

HASBI RABBI JALLALLAH LYRICS

HASBI RABBI JALLALLAH

Tere sadqey me Aaqa
Saare jahan ko deen mila
be deeno ne kalma prha
La ilaha il Allah

Simt e Nabi bu jehl gaya
Aaqa se usne ye kaha
gar ho Nabi batalaao zara
meri muthi me hey kya
Aaqa ka farman hua
aur Fazl e Rehman hua
mutthi se pathar bola
La ilaha il Allah

Apni behan se bole Umer
Ye to bata kya krti thi
mere aane se pehle kya
chupke chupke parhti thi
behan ne jab Quran parha
sun ke kalam e paak e khuda
Dil ye Omer ka bol utha
La ilaha il Allah

Wo jo Bilal e Habshi hey
Sarwar e deen ka pyara hey
Dunya ke har Aashiq ki
aankhon ka wo taara hey
zulm huey kitne un par
seene pe rakha pathar
phir b labb pr jaari tha
La ilaha il Allah

Dunya ke insan sabhi
shirk o bidat krte they
Rab ke bandey they phr bhi
but ki ibaadat krty thy
but khane hen tharraaye
Mere Nabi hen jab aaye
kehne lagi makhlooq e khudaa
La ilaha il Allah

Gulshan kalma parhtey hen
Chirya kalma parhti hey
Dunya ki makhlooq sabhi
Zikr Khuda ka karti hey
kehte sabhi hen jinn o bashar
kehta shajar hey kehta hajar
kehta hey patta patta
La ilaha il Allah

Mere Nabi ke ghulamo ka
Rutba bara hey shaan bari
Chahe Ghous e Azam hon
ya hon Data Hajveri
Yaad nahi tumhe wo manzar
Khuwaja ne jab khud chal kr
Nawwey laakh ko prhwaya
La ilaha il Allah

Gazwa e khaibar ka manzar
Maula Ali ko bulwa kr
Aaqa ne dam farmaya
Fateh ka jhanda ataa kya
Maula Ali ne ukhaar dya
Khebar ka bara darwaza
lekr ye pyara naara
La ilaha il Allah

kehne laga bu jehal ke hum
Kaabe me to jaate hen
butt khane me mere bhala
aap nahi kyun aate hen
apne qudoom e paak ko jab
butt khane me hey rakha
bol uthe wo jhoote khuda
La ilaha il Allah

Aap waqar e deen e mubeen
Aap sa aaqa koi nahi
aap ke hi hey zer e nageen
chahe falak ho chahe zameen
aap se aalam mehak utha
khatam hui zulmat ki ghata
bacha bacha kehne laga
La ilaha il Allah

Ahl e musalmano pr wo
zulm o tashaddud krte the
Shehr e rabb me rehte they
butt ki ibadat krte they
Ehl e kufr ko makke se
bhagne ka rasta na mila
charon taraf jab goonj utha
La ilaha il Allah

Khebar me puhnche Maula
larne jo aaya marhab tha
apni taaqat ke zouron per
waar bhi apne kar wo chuka
Haider ka ik waar hua
do tukre makkar hua
chaaro taraf se shorr hua
La ilaha il Allah

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

13 − seven =

Back to top button