Tahreer

Jo Dhaka ka haal hai wohi Dilli ka haal hai


  Faiz Ahmed Faiz ke yeh ashaar aaj kal hamare mulk aur hamare ehsaan faramosh padosi mulk Bangladesh ke haalaat par bilkul saadiq aa rahe hain. “Ehsaan faramosh” par pareshaan na hon, national media aaj kal yahi alfaaz istemal kar raha hai. Faiz Ahmed Faiz sahab se maazrat ke saath maqta haazir hai, asal maqta dekhna ho to Google kar lein: 

Chehre pe dono mulkon ke gard-o-malaal hai,
Jo Dhaka ka haal hai wohi Dilli ka haal hai.

Uljhan, ghatin, haraas, tapish, karb, intezaar
Woh bheed hai ke saans bhi lena mahaal hai.

Parchhaiyan qadun se bhi aage nikal gayi
Sooraj ke doob jane ka ab ehtemaal hai.

June-July ki garmi samete woh 5 August ki qadray khunak subah thi jab Sheikh Wajid Hasina ke guards ne unhein bataya ke ab yeh mulk aapko bardaasht nahi kar sakta. Agar guzashte do maheenon ki garmi se bachna hai to isteefa de kar thandi ahein bharte hue kisi aur mulk ka rukh kariye. Thodi na nakri ke baad Sheikh Hasina ko yeh baat samajh aa gayi aur waqt rahte India nikal aayi. Sheikh Hasina Bangladesh mein 1996 se 2001 tak aur phir 2009 se August 2024 tak wazir-e-azam rahi hain. 

Unki jagah Nobel Inaam yafta Sheikh Yunus ko aboory wazir-e-azam chuna gaya. Sheikh Yunus ko sari duniya ne saraha kyunke woh Nobel Inaam yafta thay. Hamare pradhan mantri ne bhi unhein shubh kaamnayein deen. Wazir-e-azam Narendra Modi ne apne social media platform *X* par likha: 

_”Professor Muhammad Yunus ko unki nai zimmedariyan sambhalne par meri nek khwahishaat. Hum Hinduon aur deegar tamami aqliyati baradariyon ke tahaffuz ko yaqeen banaate hue mamool par jaldi wapsi ke muntazir hain. Hindustan aman, salamati aur taraqqi ke liye mil kar kaam karne ke liye pur-azm hai.”_ 

*Maamlaat kahan se bigre?* 

August mein hukumat chhodne ke baad Sheikh Hasina ke Hindustan mein panaah lene ke chand hi din baad Yunus ne aboory hukumat ki bagh-dor sambhali. Padosi mulk mein hone wali peshraft ke baad Bharat aur Bangladesh ke talluqaat kashida ho gaye. Bangladesh mein Hinduon par hamlon aur Hindu sant Chinmaye Krishna Das ki giraftari ke baad haaliya hafton mein dono mulkon ke talluqaat mazeed kashida ho gaye. Agartala, Tripura mein Bangladeshi sub-high commission mein muzaahireen ke zabardasti daakhil hone ke maamle ne bhi talluqaat ko bigaad diya. 

Sheikh Yunus ki hukumat ko abhi Jumma Jumma aath din bhi nahi hue thay lekin unhone sabit kar diya ke bhale hi woh Nobel Inaam yafta hain lekin aankhein woh bhi rakhtay hain. India, Pakistan aur Bangladesh balki ab to America tak mein jarhana siasat ho rahi hai, is liye Sheikh Yunus ne is moqa ko naihayat ghanimat jana. Sheikh sahab ne hamare mulk ke logon se naseehat pakarte hue Muslim agenda ko Jamaat-e-Islami ki shah par khamosh barhawa diya. Maamla itna bara tha nahi jitna bara bana diya gaya. 

ISKCON ke chief Chinmaye Das par Bangladeshi jhanday ki tauheen ka ilzam tha. Jamaat-e-Islami ne is maamle ko khoob barhaya. Sheikh sahab mulk ki nabz dekh chuke hain jo pichle kai mahinon se naihayat taiz chal rahi hai, is liye Sheikh sahab ne maamlaat mein khamoshi barati aur Jamaat-e-Islami ne jam kar hungama kiya. Chinmaye Das ki zamanat kharij kar di gayi. ISKCON par pabandi ki maang uthne lagi. 

Related Articles

Hamare yahan ke logon ki hamdardi ne aag mein ghee ka kaam kiya aur qareeban 50 ke qareeb ISKCON se munsalik pujari Bangladesh chhodne ke liye Bengal border par akhatta ho gaye. Udhar se Bharatiya Hindu bhi border par apne mazhabi rehnumaon ki himayat mein mahaaz khol baithe. Bangladesh ne border par color drones taayinat kar diye. 

Yeh sab ho hi raha tha ke Bharatiya siasi aur mazhabi lideran ne khoob bayan baazi kar ke Bharatiya hukumat ko is maamle ko niptaane ki baat ki. Bharat ne kadhor virodh jataya. Bangladesh ne tika sa jawab dete hue kaha ke aap hamare andarooni maamlaat mein madakhlat na karein to hi behtar hai. 

*Parchhaiyan qadun se aage nikal gayi hain* 

Ek video dekha jisme Bangladeshi log keh rahe the ke Bharat humein aankhein na dikhaye, hum kamzor nahi hain. Bangladesh ke aam log hi nahi balki saabik fauji aur commanders bhi march nikal kar India ko dhamkiyan de rahe hain aur keh rahe hain ke hosh mein raho warna 4 ghante mein Bengal hamara hoga. 

Yeh baat koi naujawan nahi, ek boodha aadmi keh raha tha. Matlab jo kamal WhatsApp University ne India mein kar rakha hai wahi haal Bangladesh mein Jamaat-e-Islami ne kar rakha hai. Shayari zubaan mein kaha jaye to yun keh sakte hain: 
**”Dono taraf hai aag barabar lagi hui.”** 

Filhal jo haal mazhabi jamaaton ka India mein dekhne ko mil raha hai, wahi haal Bangladesh mein bhi hai. Tarafein se aag ugal rahe hain, isi liye hum keh rahe hain: 
**”Jo Dhaka ka haal hai wohi Dilli ka haal hai.”** 

Waqai parchaiyan qadun se aage nikal gayi hain. Is liye jo baatein dono mulkon ke sarbarah nahi keh sakte woh baatein parchaiyan keh rahi hain. 

### *Secretary Level ki mulaqat se behtari ki umeed* 

Hungamon ke beech India ne somwaar ko kharja secretary level ki mulaqat ki aur meeting ke dauran Bangladesh mein aqliyaton par hamlon ke “afsosnaak waqiyaat” ka maamla uthaya. Lekin Bangladesh ne isay “gumrah kon aur ghalat maloomaat” qarar dete hue kaha ke kisi bhi mulk ko apne daakhili qawaneen ki khilaaf warzi ki ijaazat nahi di jayegi.

Kisi ko maamlaat mein dakhal nahi dena chahiye. India ke kharja secretary Vikram Misri aur Bangladesh ke kharja secretary Muhammad Jashimuddin ke darmiyan hone wali mulaqat mein, Jashimuddin ne kaha ke Bangladesh ko Bharat mein “manfi muhim” ko rokne mein Hindustan ke fa’aal ta’awun ki tawakku hai, taake dono mulkon ke awam ke darmiyan bharosa paida ho sake. 

Indian secretary ki mulaqat Bangladesh ke wazir-e-azam Sheikh Yunus se bhi hui aur yeh mulaqat 40 minute tak chali. Mulaqat ke baad Sheikh Yunus aur Indian secretary ne mushtarka bayan mein kaha ke hum jald hi haalaat behtar hone ki umeed karte hain. 

Bangladesh ke kharja secretary Muhammad Jashimuddin ne kaha ke Bangladesh ko umeed hai ke Hindustan ke saath tamam “ghair hal shuda masail” hal ho jayenge. Bangladesh ke bayan ke mutabiq guftagu ke dauran mushtarka daryaa’on ke masail ko is waqt izafi ahmiyat hasil hui jab Bangladesh ne Teesta pani ke taqseem ke maidaan par dastakhat karne ke saath saath Ganga ke pani ke maidaan ki tajdeed par israr kiya. Yeh maidaan 2026 mein khatam ho jayega. Bangladesh ne bhi Bharat par zoor diya ke woh mojooda import duty aur ghair import rukawaton ko door kare.



Tehreer: Muhammad Zahid Ali Markazi
Chairman Tehreek Ulema-e-Bundelkhand

Join Our Whatsapp channel https://whatsapp.com/channel/0029VampI720G0Xo3xs5iK1i

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

fifteen − 10 =

Back to top button