Kya Ya Rasoolullah Kehna Jaiz Hai ?
Nida Ya RasoolAllah ka Suboot
Huzoor alaihissalam ko nida karna Qurane kareem se,
Firishto ke fel se aur sahaba se aur ummat ke amal se
saabit hai, Qurane kareem ne kai maqamaat par
Huzoor alaihissalam ko nida farmai “Ya ayyuhan nabi”
“Ya muzammil” “Ya muddassir” “Ya ayyuhar rasool”
waghaira aayaat kasrat se dekhne ko milti hain, haan
deegar ambiya -e- kiraam ko unke naam ke saath
pukara gaya “aye Ibrahim” “aye Moosa” “aye Eisa”
waghaira magar mahboob alaihissalam ko pyare pyare
alqaab se nida farmai aur musalmano ko bhi achhe
alqaab se pukarne ka hukm diya
Mishkaat ki pehli hadees mein hai ke Hazrate Jibreel
ne Huzoor ko pukara, Huzoor ki wafat ke baad
Hazrate Malikul maut ne bhi Huzoor alaihissalam ko nida ki (dekhiye Mishkaat, baab wafatun nabi), Ibne
Maaja mein Usman bin Hunaif se riwayat hai ke ek
nabina (andha) bargahe risalat mein hazir ho kar tailbe
dua hue to unko ek dua batai gai jis mein Huzoor
alaihissalam ki nida ka suboot hai
Aalamgeeri mein nabi alaihissalam ki qabr ke ziyarat
ke bayaan mein hai ke phir kahe “Ya nabi aap par
salam ho aur main gawahi deta hoon ke aap Allah ke
nabi hain” isi tarah aage Hazrate Abu Bakr Siddique
ko bhi nida ke saath salaam pesh karne ka hukm hai
phir Hazrate Umar Faruque par
Akabir Auliya wa mashaikh apni duao aur wazaif mein
Huzoor alaihissalam ko nida karte the, Qasida Burda
mein hai:
“Aye behtareen makhlooq…”
Imam Zainul Aabideen ne apne qaside mein nida ke
saath arz kiya:
“Aye rahmatullil aalameen”
Maulana Jaami ne “Ya nabi” pukara, Imame Aazam,
Abu Hanifa ne “Ya” ke saath Huzoor alaihissalam ko
nida ki (Ash’aar Urdu nuskhe mein dekhe jaayein)
In se saabit hua ke Huzoor alaihissalam ko door se aur
wafat ke baad pukarna jaaiz hai, agar naara lagayein to
bhi jaaiz hai kyunki jab ek shakhs ka Ya RasoolAllah
kehna jaaiz hua to kai logon ka ek saath mil kar ye kehna bhi jaaiz hoga
Muslim shareef mein hai ke jab Huzoor alaihissalam
Madina pahunche to wahan ke logon ne Ya
RasoolAllah ke naare lagaye, Is hadees mein sarahatan
naare ka suboot hai aur maloom hua ke tamam sahaba
naara lagaya karte the aur isi hadeese hijrat mein hai ke
sahaba ne juloos nikala aur jab bhi Huzoor
alaihissalam kahin se Madina tashreef laate to isteqbal
ke liye ahle Madina juloos nikalte (Dekho Bukhari,
Mishkaat)
Nida Ya RasoolAllah par aitrazaat
Pehla aitraz:
Quran kehta hai ke Allah ke siwa un ko na pukaro jo
tumhare liye nafa nahin de sakte aur na nuqsan
pahuncha sakte hain to maloom hua ke ghaire khuda
ko pukarna mana hai
Jawab:
In jaisi aayato mein jahan bhi lafze dua aaya hai to usse
muraad pukarna nahin balki poojna hai ke Allah ke siwa kisi ko mat poojo, iska maana agar pukarne ke kiye jaayein to phir jo ahadees aur akabireen ke aamaal ka suboot pesh kiya gaya sab ko shirk kehna padega, rozana hum log janne waalo ko pukarte hi hain to aalam mein koi bhi shirk se nahin bachega neez shirk ise kehte hi nahin balki ghaire khuda ko khuda ki zaat ya sifaat mein shamil karna hai aur yahan pukarne mein aisi kaun si baat paai ja rahi hai?
Dusra aitraz:
Allah ta’ala farmata hai ke Allah ko khade baithe aur
apni karwato mein pukaro lihaza maloom hua ke
ghaire khuda ka naam japna shirk hai
Jawab:
Is aayat se zikre Rasoolullah ko shirk samajhna nadani
hai, aayat mein to ye hai ke Allah ka zikr karo aur ye
wujoob ke liye nahin balki jawaz ke liye hai ke jab
namaz se farigh ho to ab Allah ko pukar sakte ho, ab
namaz ke baad chahe to khuda ko pukaro ya ghaire
khuda ko ya khamosh raho sab ki ijazat hai, agar ye
wujoob ke liye ho to bhi isse ghaire khuda ko pukarne
ko haraam saabit nahin kiya ja sakta aur phir Huzoor
alaihissalam ka zikr khuda ka hi zikr hai jaisa ke Quran
khud farmata hai:
Jisne rasool ki farmabardari ki usne Allah ki
farmabardari ki (4:80)
Jab kalima, namaz, hajj, durood, khutba gharz ke saari
ibadaat mein Huzoor alaihissalam ka zikr shamil hai to namaz ke ilawa inka zikr uthte baithte kyun haraam
hoga? jo shakhs uthte baithte har haal mein Huzoor ka
zikr kar raha hai durood padh raha hai to sawaab ka
mustahiq hoga.
Jin aayato mein Abu Lahab ya aise logon ka zikr hai un
aayato ko padhne se sawaab milega ya nahin aur kya
inki tilawat se Allah ki rahmat naazil hogi ya nahin phir
ye kaisa insaf hai ke Huzoor alaihissalam ke zikr ko
haraam aur shirk kaha jaaye! ye kya aqal hai? Hazrate
Yusuf alaihissalam ki judai mein Hazrate Yaqoob
alaihissalam humesha Hazrate Yusuf ka naam lete aur
uthte baithte unko yaad karte aur unki yaad mein is
qadr roye ke aankhein safed ho gai, Hazrate Adam
firaqe Hawwa mein, Hazrate Imam Zainul Aabideen
firaqe Imam Husain mein uthte baithte unka naam
japa karte to ab batao ke in par kya hukm hoga? kya
inhein bhi mushrik kaha jayega ya nahin? agar nahin
to phir aaj ek aashiq apne nabi ko yaad kare to wo kaise
mushrik hoga?
Aitraz:
Bukhari mein hai ke Huzoor alaihissalam ne
“Attahiyyat” batai aur jab Huzoor alaihissalam ki wafat
hui to humne “Attahiyyat” mein yun padha “Alan
Nabi” is hadees ki sharah mein Allama Ayeni ne likha
hai ke Huzoor alaihissalam ki wafat ke baad sahaba ne ghaaib ka seegha istemal kiya lihaza isse saabit hua ke
Huzoor ki wafat ke baad “Attahiyyat” mein nida ko
chhod diya gaya to jab sahaba ne namaz se nida ko
nikaal diya to jo shakhs namaz ke baahar ya
RasoolAllah pukare to wo bilkul mushrik hoga
Jawab:
Bukhari aur Ayeni ki ye ibarat to aitraz karne waalo ke
bhi khilaf hai kyunki aaj tak kisi imam mujtahid ne
Attahiyyat ko badalne ka hukm na diya, Imam Abu
Hanifa ne Ibne Mas’ood ki aur Imam Shafai ne
Hazrate Ibne Abbas ki Attahiyyat ikhteyar farmai aur
dono Attahiyyat mein nida hai, ghair muqallideen bhi
isi Attahiyyat ko padhte hain jisse maloom hota hai ke
baaz sahaba ne apne Attahiyyat ko apne ijtihad se badla
aur hadeese marfoo ke muqabil kisi sahabi ka ijtehad
qabool nahin, aur un sahaba ne bhi isliye tabdeel nahin
kiya ke nida karna ghaaib ko haraam hai warna Huzoor
alaihissalam ki zindagi mein door rehne waale sahaba
Attahiyyat mein khitab na karte, kitne sahaba Madina
se door rehte the to wo bhi isi Attahiyyat ko padhte
the, ghaaib ko nida barabar hoti thi, is par Huzoor ne
mana na farmaya aur na sahaba ko shubha hua,
Huzoor alaihissalam ne Attahiyyat sikhate waqt ye to
nahin kaha ke ye bas meri zaahiri zindagi tak hi padhi
jaaye aur mere inteqal ke baad khitab na karna,
Mirqaat mein jo hai usse to ye maloom hota hai ke sahaba ne Attahiyyat hargiz na badli, ye mahaz raawi
ka faham hai na ke asal waqiya
Aitraz:
Baaz wahabi kehte hain ke door se pukarna aur ye
samajhna ke wo sunte hain aur madad karenge ye shirk
hai kyunki ye to khuda ki sifat hai
Jawab:
Door se aawaz sunna hargiz khuda ki sifat nahin hai
kyunki door se aawaz to wo sune jo pukarne waale se
door ho, rab to shahe rag se bhi zyada qareeb hai lihaza
parwardigar to qareeb ki hi aawaz sunta hai aur agar
maan liya jaaye ke door ki aawaz sunna uski sifat hai
to qareeb ki aawaz sunna bhi to uski sifat hai lihaza
phir qareeb waalo bhi ye samajh kar pukarna hoga ke
wo nahin sunta warna mushrik ho jayenge lihaza sab
ko behra jaano, ab hum dikhate hain ke door ki aawaz
auliya sunte hain:
Hazrate Yaqoob ne door se Hazrate Yusuf alaihissalam
ki qameez ki khushbu pa li to kya ye manna shirk
hoga?
Hazrate Umar ne Madina se Hazrate Saariya ko aawaz
di jo Madine se door jung kar rahe the aur Hazrate
Saariya ne wo aawaz sun li to kya ye shirk hai?
Hazrate Ibrahim alaihissalam ne khana -e- kaaba bana
kar saari rooho ko aawaz di aur sab ne sun li, jisne
labbaik kaha wo hajj ka sharf payega aur jo khamosh
raha wo kabhi hajj nahin karega, ab door aur paida
hone se pehle hi aawaz sun li to kya ye shirk nahin?
Hazrate Ibrahim ne parindo ko zibah kar ke ba hukme
ilahi pahaad par rakh kar pukara, ab dekhiye murda
jaano ko pukara gaya aur wo daude hue aaye to kya
auliya in janwaro se bhi kam hain? aaj ek shakhs
london mein baith kar india phone se baat karta hai
aur pukarta hai aur ye maanta hai ke wo meri baatein
is phone ke zariye sun raha hai to ye pukarna shirk hai
ya nahin? ab agar kisi ka aqeeda ho ke nubuwwat ki
quwwat is phone ki quwwat se zyada hai aur ambiya
apni khudadaad quwwato se har ek ki aawaz sunte hain
phir ya RasoolAllah pukarna kaise shirk hoga?
Hazrate Suleman alaihissalam ne ek safar mein door se
ek chinti ki aawaz sun li to kya ye shirk hua ya nahin?
Mishkaat mein hai ke dafn hone ke baad mayyit
baahar waalo ke pairo ki aawaz sunti hai aur unhein
dekhti hai to shirk hua ya nahin? hum ilme ghaib ki
bahas mein hadees naqal kar chuke hain ke ek wali
khudai taaqat se dekhta, sunta aur chhoota hai, jisko
Allah Ta’ala quwwat ata farma de aur wo sun le to is
mein shirk kaisa?
In sab baato par mukhalif kahega ke khuda ne in sab
ko sunaya to unhone sun liya, hum bhi yahi to kehte
hain ke ambiya wa auliya ko khuda door ki aawazein
sunata hai to ye sunte hain, khuda ki sifat zaati hai aur
inki ataai, khuda ki sifat qadeem hai aur inki haadis,
khuda ki sifat kisi ke qabze mein nahin hai aur inki
khuda ke qabze mein hai, itna farq hote hue shirk
kaisa? is nida ke talluq se aur bhi bahut kuchh kaha ja
sakta hai lekin yahan isi qadr kaafi hai