MADINE WALA SOHNA LYRICS
Madine wala sohna
Mukh Chand Badar sha Shani aye
Matthe chamakdi Latth Noorani aye Kali Zulf te akh Mastani aye Makhmoor akhihin Madh-bhariyan
Is surat nu Mein jaanakhan
Jaanakhan ke Jaan Jahanakhan
Sach aakhan te Rab di nishan aakhan
Jis Shan ko Shana sab badhiyan
Subhan Allah Ma-Ajmal-ka
Ma-Ahsanaka Ma-Akmal ka Kitthe Mehre Ali Kitthe Teri Sana Gushtak akhiyan kitthe janiyan
Madine wala sohna
Qurbaan Mein Unki Bakhshish Ke, Maqsad Bhi Zubaa Par Aaya Nahi
Bin Maange Diya Aur Itna Diya, Daaman Mei Hamaare Samaaya Nahi
Imaan Mila Un Ke Sadqe, Quran Mila Un Ke Sadqe
Rehmaan Mila Un Ke Sadqe, Woh Kya Hai Jo Ham Ne Paaya Nahi(N)
Dil bhar gaye mangto ke lene ke
Dene se teri niyat na bhare
Jo aaya use bhar bhar ke diya mahroom kabhi lotaya nahi
Madine wala sohna
Jab Husna tha Unka Jalwanuma
Anwaar ka Aalam kya hoga
Har koi fida hai bin dekhe
Deedar ka Aalam kya hoga
Ek Simt Ali Ek Simt Umar, Siddiq Idhar Uthmaan Udhar
In Jug Mug Jug Mug Taraun May, Sarkaar Ka Alam Kya Hoga
Madine wala sohna
Zameen o zamaan tumhare liye makeen o makaan tumhare liye
Chuneen o chunaan tumhare liye, bane do jahaan tumhare liye
Dahan mein zabaan tumhare liye badan mein hay jaan tumhare liye
Ham aaye yahaan tumhare liye utthein bhi wahaan tumhare liye
Tumhaari chamak tumhari dhamak tumhari jhalak tumhari mahak
Zameen o falak simaak o samak mein sikkah nishaan tumhare liye
Jinaan mein chaman, chaman mein saman, saman mein phaban, phaban mein
dulhan
Sazaa e mihan pey aise minan yeh amn o amaan tumhare liye
Sahaab e karam rawaana kiye key aab e ni’am zamaanah piye
Jo rakhte they hum woh chaak siye yeh satr e badaan tumhare liye
Khaleel o Naji, Maseeh o Safi, sabhi sey kahi kaheen bhi bani
Yeh be khabari key khalq phiri kahaan sey kahaan tumhare liye
Ishaare se Chand chir diya
Chhipe huwe Khur ko pher liya
Gaye huwe Din ko Asr kiya
Ye Taabo Tawaan tumhare liye
Sabah woh chale ke Baag phale
Wo Phool khile ke din ho bhale
Liwa ke tale Sana me khule
Raza ki zuban tumhareliye
Wahi Rab Hain Jisne Tujhko Hama’atan Karaam Banaya,
Hume Bheekh Maangne Ko, Tera Aastaa(n) Bataya
Tujhe Hamd Hai Khudaya
Tumhi Haakim-E-Baraaya, Tunmhi Qasim-E-Ataaya
Tumhi Dafae’e Balaya Tumhi Shafae’e Khataya
Koyi Tumsa Kaun Aaya
Yahi Bole Sidra Waale, Chaman-E-Jahan Ke Thaale
Sabhi Maine Chaan Daale
Tere Paaye Ka Naa Paaya
Tujhe Yakne Yak banaya
Mustafa e zaat e yakta aap hain
Yak ne jisko yak banaya aap hain
Aabo gil mai noor ki pehali kiran
Jane aadam jane hawwa aap hain
Aap ki khaatir banaaye do jahaan
Apni khaatir jo banaaya Aap hain
Aap jaisa koi ho sakta nahin
Apni har khoobi mein tanha Aap hain
Maa Jab Iklaute Ko Chhode
Aa Aa Keh Kar Bulate Yeh Hai
Baap Jaha Bete Se Bhage
Lutf Waha Farmate Yeh Hai
Unke Haath Me Har Kunji Hai
Maalik E Kul Kehlate Yeh Hai
Laakho Balaye Karoro Dushman
Kon Bachaye Bachate Yeh Hai
Sallim Sallim Ki Dhaaras Se
Pul Se Paar Lagate Yeh Hai
Apni Bani Hum Aap Bigade
Kon Banaye Banate Yeh Hai
Keh Do Raza Se Khush Ho Khush Reh
Muzda Riza Ka Sunaate Yeh Hai
Aap ki Tal’at ko dekha jaan di Qabr mein
pahuncha to dekha Aap hain
Bar Darat Aamad gadaa behre Sawaal Ho
bhalaa AKHTAR ka daata Aap hain
Lamyati Nazeero Kaafi Nazarin
Misle To Na Shud Paida Jaana
Jag Raaj Ko Taaj Tore Sar So
Hai Tujh Ko Shahey Do Sara Jaana
Al Bahro Alaa Wal Mavjo Tagha
Mann Bekaso Tufaan Hosh Ruba
Manjdhaar Me Hu Bigri Hai Hawaa
Manjdhaar Me Hu Bigri Hai Hawaa
Moori Naiya Paar Laga Jaana
Ana Fi Atshiv Wa Sakha Ka Atam
Aye Gesu E Paak Aye Abr E Karam
Barsan Haare Rimjhim Rimjhim
Do Boond Idhar Bhi Gira Jaana
Bas Khaama E Nava E Raza Na Ye Tarz Meri Na Ye Rang Mera
Irshaad E Ahibba Naatik Tha Nachar Is Raah Padaa Jaana
Hai kalaam e Ilahi me Shamsuz’zuha, Tere chehre Noore Faza ki qasam
Qasam e Shab e taar me raaz yeh tha, ke Habeeb ki zulfe duta ki qasam
Tera masnade naaz hai Arshe baree, Tera mehrame raaz hai rooh e ameen
Tu hi Sarware har do jahaan hai shaha, Tera misl nahi hai Khuda ki qasam
Tu hi bandaun pa karta hai lutf o ‘Ata, Tujhi pe bharosa hai Tujhi se dua
Mujhe Jalwah e Pak Rasool dikha, Tujhe apne hi izz o ‘Ala ki qasam
Yehi kehti hai bulbule baagh e jina, ke Raza ki tarha koee sehre bayaan
Nahi hind me wasif shahe huda, mujhe shaukhe tabae Raza ki qasam
Chamak Tujhse Paate Hain Sab Paane Waale
Mera Dil Bhi Chamka De Chamkane Waale
Barasta Nahi Dekh Kar Abr E Rehmat
Badoo(n) Par Bhi Barsa De Barsane Waale
Rahega Yu Hi Unka Charcha Rahega
Pade Khaaq Ho Jaye Jal Jaane Waale
Sabse Aula Wo Aala Hamara Nabi
Sab sey Baala Wo Waala Hamaara Nabi.
Apne Maula Ka Piyara Hamaara Nabi
Dono A’alam Ka Dulha Hamaara Nabi.
Kya Khabar Kitne Taare Khile Chup Gaye
Par Na Doobe Na Dooba Hamaara Nabi.
Jiski Do Boond Hain Kausaer O Salsabeel
Hain Wo Rehmat Ka Dariya Hamaara Nabi
Jisko shaayaan hay arsh e Khuda par juloos
Hay woh sultaan e waala hamara Nabi
Mulke Qaunain Mein Ambiya Taajdaar
Taajdaro Ka Aaqa Hamara Nabi (saw)
Fazle Rabbul Ula Aur Kya Chahiye
Mil Gaye Mustafa Or Kya Chahiye
Daaman-e-Mustafa Jinke Hathon Main hai
Unko Roze Jaza Aur Kya Chahiye
Kyu kaho ye ata wo ata chaiye
Unko maloom hai Humko kya chaiye
Mangne walo humko to yu chaiye
Mangna aur kisi bhi kyu chaiye
Kaun deta dene muh chaiye
dene wala hai saccha Hamaara nabi
Madine
Zarre Jarr Kar Teri Paizaaro Ke
Taaj E Sarr Bante Hai Sayyaro KeBehr E Tasleem Ali Maidaa’n Me
Sar Jhuke Rehte Hai Talwar O KeSidq O Adl O Karam O Himmat Me
Chaar Soo Shohrey Hai In Chaar O Ke
Siddiq e Akbar sohna
Farooq e azam sohna
Usman e gani sohna
maula ali sohna
Ali imame manosto manam gulam e ali
Hazar jaane giraame fidae naam e ali
Haidariam kalandaram mastam
Banda e murtaza ali hastam
Peshwa e tamam rindanam
Ke sage kube shere yazdanam
Kabhi deewar hilti hai kabhi dar kaap jaata hai ali ka naam sun kar abhi khaibar kaap jaata hai
Haidar maula sohna
Jisne ali ke zikr se lahja bacha liya
Surajne us bashr se ujaala bacha liya
Mene pada tha apni hifazat ke waaste
Nad e ali saara ilaaka bacha liya
Maula ali sohna
Noor O Binte Noor O Jouze Noor O Umme Noor O Noor
Noor E Mutlaq Ki Kaneez Allah Re Lahna Noor Ka
Ek Seene Tak Mushabeh, Ik Wahan Se Pa’oon Tak,
Husn-E Sibtayn Unke Jamaun Main Hai Nima Noor Ka
Mujh kya muh arz ka lekin malaik yu kahe
shaazadi dar pe aaya ye hai mangta noor ka
Teri nasle paak.me hai baccha baccha noor ka
Tu hai ayne noor tera.sab gharana noor ka
Panjatan e paak sohna
Ahlesunnat ka hai beda paar ashabe huzoor najm hai aur naaw hai itrat rasoolulallah
Ummat ka mamu sohna
Musallam Saboot Hai Fazilat E Muawiya
Ayaa Hai Sams Ki Tarah Karamat E Muawiya
Woh Jis Se Rooth Jayein Toh Rasool Usse Rooth Jayein
Nabi Se Is Tarah Ki Hai Qaraabat E Muawiya
Ummat ka mamu sohna
Ummat ka mamu sohna
Daali daali noor ki hai guncha noor ka patta pattanoor ka hai butta butta noor ka
ak tujhse jis rishte ko rishta hai wo rishta noor ka
teri nasl e paak me hai baccha baccha noor ka
Hasnain sohne maula hasan sohna maula Hussain sohna
Dono imam khalq ke haajat rawa huwe Muskil KUSHA ke bete bhimuskil kusha huwe
Maula hasan sohna
Hatho se chaar yaar ke humko Milenge chaar jaam aur zaate hasan husain aur milenge jaam.do
Zaate hasan Hussain hai ayne shabia shafa zaat hai ik nabi ki zaat hai ye unhi ke naam do
Maula hasan sohna
Kya baat raza us chamanistane Karam
Ki zahra kali jis me husain aur hasan phool
Maula hasan sohna
Dastagir e hardo aalam kardiya sibtain ko ae main qurban jaane jaan angust kiali haath me
Maula hasan sohna
Peeron Ke Aap Peer Hain Ya Ghaus Al-Madad
Ahl-e Safa Ke Meer Hain Ya Ghaus Al-Madad
Sadqa Rasool e Paak ka jholi mein daal do
Hum Qadri faqeer hain Ya Gaus Al-Madad
Gous e azam sohna
Main qadri hoon shukr hai rabb e kadir ka
daaman hai mere haath me peerane peer ka
Gaus e Azam sohna
Tera dayar hai daar us Salaam Ya Khwaja
Tajalliyañ Haiñ nayi Sub’ho Shaam Ya Khwaja
Na fiqre mai na ghame jaam tere mastoñ ko
Teri Nigaah Se chalta hai kaam ya Khwaja.
Teri zamin tera asman hai Khwaja
Isliye mera bharat mahan hai khwaja
Bas ek Boond ki manind hai anasagar
Tumhare kaase me Hindustan hai Khwaja
Mera Khawaja sohna
Minare kasr e raza baland Kaafi hai
Tum iske pehle sine pe chad ke dikhlado
Fatawa e razviya to ik karamat hai aur hadaiq e Bakhshish bhi ik karamat hai aur hadaiqe Bakhshish bhi ek karamat hai
zara Safeena e Bakhshish hi padh ke dikhlado
Bareilly wala sohna aala hazrat sohna
Shirk tha jab naaz karta Ahmed e Mukhtar par
nukta chit log ilme sayyed e abrar par
Har wali har gous ko be daste paa samjha gaya
ya rasoolallah kehne par tha fatwa shirk ka
to kufr par ek din mashiyat ko jalal aahi gaya
mere aaqa ki mohabbat ka sawal aahi gaya
surat e taskin ki nikli dil e is imam se ek kiran footi achanak chark par mehtab se
us kiran ko ahle deen Ahmed raza kehne lage
Ummat e khatm ur rasool ka Peshwa kehne lage
us kiran ne rahe imaan ko munawwar kar diya
phool to hai phool khaaro ko khuletar kar diya
Ae imam e quam e Ummat ke liye ba zindabaad
zindabaad ae sufi e Ahmed raza khan zindabaad
Mera raza sohna
Abdur rahma sohna
Bakhshish karam ata hai abdur rahma ki gali me
har dard ki dawa hai abdur rahma ki gali
Duniya wa akhirat ki har shaye wahi se payi
Jo manga milgaya hai abdur rahma ki gali me
Saya kiye huwe hai judo sakha ke badal
mangta khada huwa hai abdur rahma ki gali me
Abdur rahma sohna dongri wala sohna
Kya dabe jis pe himayat ka ho panja tera sher ko khatre me lata nahi kutta tera
Abdur rahma sohna dongri wala sohna
mufti e azam sohna
Us raza e mustafa se Dushmani achi nahi
Muttaki bankar dikhaye is zamaan e me koi
Ek mere mufti e azam ka takwa chod kar
Mufti e azam sohna
Sahara do sahara do sahar mufti e azam
Khada hai dar pe ik mangta tumara mufti e azam
Jinhe bachman me hi noori miyan dediya sab kuch
Wo hai Ahmed raza khan ka dulara Mufti-e-Aazam
Tajushshariya sohna
Chehra Lage Suhaana Mere Azhari Miyaan Ka
Harr Sunni Hai Deewaana Mere Azhari Miyan Ka
Baghdaad Se Madina, Ajmer Se Bareily
Roohaani Aana Jaana Mere Azhari Miyan Ka
Bat’ta hai Sadqa Mufti-e-Aazam ke Naam ka Luto Ye hai Khazana Mere Azhari Miyan ka
Tajushshariya sohna
Mera murshid sohna mehmood akhtar sohna
mai.n neewaa.n mera murshid uchcha uchiyaa.n de sang laai sadqe jaawaa.n inaa.n uchiyaa.n to.n jinhaa.n neewiyaa.n naal nibhaai
Mera murshid sohna
Peer hi mera sachha rehbar peer hi raah dikhaye peer hi mera haath pakad jannat me lajaye
Mera murshid sohna
Badlega na badla hai kanoon e shariat ka
Har daur ka puckta hai kanoon shariat ka
Wo teen talaq e ho ya aur masail ho fitrat ka takaza hai kanoon e shariat ka
Imaan hamara hai kanoon shariat ka
Har court se aala hai kanoon shariat ka
Labbaik ya rasoolallah
Taajdaar e khatme nabuwwat zindabaad zindabaad
Lab per Lab par naat e paak ka nagma kal bhi tha aur aaj bhi hai…
Mere nabi se mera rishta kal bhi tha aur aaj bhi hai!!!
Aur kisi janib kyun jayein aur kisi ko kyun dekhein…
Apna sab kuch gumbad e khazra kal bhi tha aur aaj bhi hai!!!
Labbaik ya rasool allah