MAULA ALI MAULA LYRICS
Maula ali
Aa mein pateh ki baat batao bagaur sun
MUSHKIL pade to thamle daman e panjatan
Maula ali
Ali ke naam se dil ko sukoon milta hai
Hum us ali ki baat karte hai logo
Jis ali ka mere aaka se Khoon milta hai
Maula ali
Begair hubbe ali mud’aa nahi milta
Ibaadat o ka bhi hargiz sila nahi mila
Khuda ke bando suno gaur se Khuda ki kasam
jise ali nahi milte usey Khuda nahi milta
Maula ali
Maslak pata chalega zara khulke baat ho
Hum to raza ke sath he tum kiske kis sath ho
Maula ali
Bane sufi jazbaat me behne wale
Qalandar bane ishq me jalne waale
Janati hogaye ya nabi kehne waale wali bangaye ya ali kehne waale
Maula ali
Man kuntu maula
Aaqa ne bola
Me jiska maula
Hai uska maula
Siddiq ka pyara
Farooq ka pyara
Usman ka pyara
Usman ka pyaara
Ameere maviya ka pyara(2)
Hasnain ke baba
Zahra ke shohar
Mere gaus ka maula (2)
Khawaja ka maula
Noori miyan ka maula
Mere raza ka Maula
Mufti e Aazam ka Maula
Amjad ali ka maula
Mufti e aazam ka maula
Akhtar ka maula
Hum sab ka maula
Haq ali Haq ali
Naar e Haideri
Maula ali
JANGAL PAHAAD PARTE HAI NAD-E-ALI ALI
MUSHKIL KO MERI HAL KARO MUSHKIL KUSHA ALI
Mene pada tha apni hifazat ke waaste naade ali ne saara ilaka bacha liya
Ali ke dar se jo manga to har muraad mili
Pukara unko jo muskil me imdad mili
Liya jo naam e ali ishq e sahaba rakh kar
To mujhe siddiq o umar usman se bhi daag mili
Maula ali
Noor O Binte Noor O Jouze Noor O Umme Noor O Noor
Noor E Mutlaq Ki Kaneez Allah Re Lahna Noor Ka
Ek Seene Tak Mushabeh, Ik Wahan Se Pa’oon Tak,
Husn-E Sibtayn Unke Jamaun Main Hai Nima Noor Ka
Mujh kya muh arz ka lekin malaik yu kahe
shaazadi dar pe aaya ye hai mangta noor ka
Teri nasle paak.me hai baccha baccha noor ka
Tu hai ayne noor tera.sab gharana noor ka
Maula ali
Kab kisi benwa se kehta baat shere khuda se kehta hu
Sab ke haajat rawa se kehta hu
Door ho ja nazar se ae muskil warna muskil KUSHA se kehta hu
Maula ali
Ishq e rasool e paak ka ik mojeza hai
Ahmed raza ilm me jalwa ali ka hai
Maula ali
Dono imam khlq ke hajat rawa huwe
Muskil KUSHA ke bete bhi muskil kusha huwe
Maula ali.
Maula ali
Man kuntu maula
Aaqa ne bola
Me jiska maula
Hai uska maula
Siddiq ka pyara
Farooq ka pyara
Usman ka pyara
Usman ka pyaara
Ameere maviya ka pyara(2)
Hasnain ke baba
Zahra ke shohar
Mere gaus pucha
To qadri bole
Khawaja se pucha
To chishti bole
Mere raza se pucha
To razvi bole
Ham sab ka maula
Akhtar ka maula
Haq ali Haq ali
Naar e Haideri