NASEEB CHAMKE HAI FARSHIYO KE LYRICS
naseeb chamke hai.n farshiyo.n ke
ki ‘arsh ke chaand aa rahe hai.n
jhalak se jin ki falak hai raushan
wo shams tashreef laa rahe hai.n
marhaba ya mustafa ! marhaba ya mustafa !

nisaar teri chahal-pahal pe
hazaaro.n ‘eide.n rabi-‘ul-awwal
siwaae iblis ke jahaa.n me.n
sabhi to KHushiyaa.n mana rahe hai.n
marhaba ya mustafa ! marhaba ya mustafa !
marhaba ya mustafa ! marhaba ya mustafa !
shab-e-wilaadat me.n sab musalmaa.n
na kyu.n kare.n jaan-o-maal qurbaa.n
abu lahab jaise saKHt qaafir
KHushi me.n jab faiz paa rahe hai.n
marhaba ya mustafa ! marhaba ya mustafa !
marhaba ya mustafa ! marhaba ya mustafa !
zamaane bhar ka ye qaa’ida hai
ki jis ka khaana usi ka gaana
to ne’mate.n jin ki khaa rahe hai.n
unhi.n ke ham geet gaa rahe hai.n
marhaba ya mustafa ! marhaba ya mustafa !
marhaba ya mustafa ! marhaba ya mustafa !
jo qabr me.n un ko apni paau.n
paka.D ke daaman machal hi jaau.n
jo dil me.n rah ke chhupe the mujh se
wo aaj jalwa dikha rahe hai.n
marhaba ya mustafa ! marhaba ya mustafa !
marhaba ya mustafa ! marhaba ya mustafa !
mai.n tere sadqe, zameen-e-tayba !
fida na ho tujh pe kyu.n zamaana
ki jin ki KHaatir bane zamaane
wo tujh me.n aaraam paa rahe hai.n