Article

QURAN SE MOBILE KA SABOOT

QURAN SE MOBILE KA SABOOT

Quran Kareem Allahﷻ Rabbul-Izzat Ki Akhri Kitab Hai.

Related Articles

Jo Nabi Akhiruj-Jama ﷺ  Par Nazil Hui Hai.

Quran Ke Nuzool Ka Maqsad Tama Ibn E Adam(Sirf Musalman Nahi) Ki Hidayat O Issalah Or Inki Deeni O Akhrawi Zindagi Ko Sa’adat Wo Falah Se Hamkinar Karna Hai.

Yahi Wo Kitab Hai Jisne Insani Zindagi Ki Kaya Palat Di Or Badd Bakht Ko Nek Bakht Or Sharer Ko Shareef Bana Diya-

Quran Moqaddas Hedayat Wa Issalah Ka Mazmu’a  Hone Ke Saath Uloom O Ma’araf Ka Ganjenah Hai.

Deeni Or Asri Uloom O Fanoon Ka Sar Chasma Or Insani Tahjeeb Saqafat Ka Manba Hone Ka Sarf Bhi Is Kitab Ko Hasil Hai.

Quran Me Sab Kuch Hai Bas Gaur O Fikr Ki Zarurat Hai.

📢QURAN KA AELAN📢

ِ وَلَا رَطْبٍ وَلَا يَابِسٍ إِلَّا فِي كِتَابٍ مُّبِينٍ

Koi Dana Nahi Zameen Ki Andheriyo me Or Na Koi Tar Or Na Koi Khusk Jo Ek Roshan Kitab me Likha na Ho.

 کوئی دانہ نہیں زمین کی اندھیریوں میں اور نہ کوئی تر اور نہ خشک جو ایک روشن کتاب میں لکھا نہ ہو.

there is not a grain in the darkness of the earth, nor anything wet or dry, which is not recorded in a clear Book.

(📖قرآن مجيد، سورةالانعام، آيت: ٥٩، پارہ:٧)

Or Dusri Jagah Yu Irshad Hota Hai.

وَكُلُّ صَغِيرٍ وَكَبِيرٍ مُّسْتَطَرٌ

Har Choti Badi Chij Likhi Hui Hai.

اور ہر چھوٹی بڑی چیز لکھی ہوئی ہے

And every small and great thing is recorded.

(📖قرآن مجيد، سورةالقمر، آيت،٥٣،  پارہ: ٢٧)

QURAN KAREEM Ko Sirf Tilawat Ki Jane Wali Kitab Samajhna Galat Hai-

Ahle Iman Ko Hukm Diya Gaya Hai Ke Wo Quran Kareem Ki Tilawat Karke Is Ke Foyuz Wa Barkat Se Malal Maal Hon-

Or Ayaat E QURANI me Gaur O Fikr Karke Unke Haqaiq O Ma’araf Or Israr O Lataif Se Waaqfiyat Hasil Ki Jaye،

Take Kama’Haqqahu QURAN Ki Azmat O Rif’at Or Iski Ahmiyat O Afadiyat Ka Andazah Ho Sake-

Ye QURAN MOQADDAS Ki Os’at-O-Gahrai Ka Hi Natija Tha Ke!

حضرت عبدالله بن عباس  رضي الله تعالي عنه 

ne Farmaya ∆

لوضاع لى عقال بعير لوجدته فى القران.)

Tarjumah :- Agar Meri Aont( Camel) Ki Rassi Bhi Gumm Ho Jaye To Main Ose QURAN me Talash Kar Lunga-

اگر میرے اونٹ کی رسى بھی گم ہوجاے تو میں اسے قرآن میں تالاش کرلونگا 

(📖 الااتقان فى علوم القران، ج:٢ ،ص: ١٢٦) 

QURANI AELAN Ke Mutabik Har Choti Badi Or Khusk O Tar Chij Ka Zikr Is Kitab Me Moujood Hai-

Aaj Dunya Jis Qadar Taraqqi Ke Madarij Tae Kar Rahi Hai.QURAN Ki Sadaqat Aya’n Hoti Jarhi Hai-

14500 Saal  Pahle QURAN ne Jis Haqiqat Ki Janib Ishara Kar Diya Tha Aaj Wo Haqiqat Apni Tamam Tar Ana’yo Ke Saath Zahoor Pajeer Hai-

EK MISAL MULAIHJA KARE

وَإِذَا الْعِشَارُ عُطِّلَتْ

Or Jab Hamal Wali Aontniya Chhoti Phire-

اور جب تھلکی (گابھن) اونٹنیاں چھوٹی پھریں

And when milch camels roam abandoned.

(📖 قرآن مجيد، سورةالتكوير، آيت: ٤،  پارہ: ٣٠)

AeroPlane Or Train Ke Etc Ke Wajud me Aane Se Aont(Camels) Chhute Phir Rahe Hain,Kyu Ke Sawari Ka Isse Behtar Intezam Ho Chuka Hai.

To Hum Kah Sakte Hain Ye Ayat E Kareema  me Aeroplane, Train, Motor Ki Janib Ishara Hai-

Ab Aye Science Ki Ek Aham Aezad” MOBILE Ko Dekhe-

Ye Choti Si Masnu O Makhloq Agar’che Daur E Hazir Ki Paidawar Hai, Magar QURAN MOQADDAS ne Digar Sciences Aezadat Ki Tarah” MOBILE Ki Aezad O Paidaish ” Se Muta’allik Bhi Dunya ko Bahut Pahle Khabar Kar Diya Tha-

QURAN KA FARMAN

وَيَقْذِفُونَ بِالْغَيْبِ مِن مَّكَانٍ بَعِيدٍ

Or Be Dekhe Phenk Marte Hain Door Makan Se-

اور بے دیکھے پھینک مارتے ہیں دور مکان سے

And they hurl allegations without seeing, from far away.

(📖 قرآن مجيد، سورة السبا، آيت:٥٣،  پارہ, ٢٢) 

Gaib Har Iss Chij Ko Kahte Hain Jo Hamari Or Aap Ki Nighaho Se Se Gayab Or Aojhal Ho، Ye Ayat Agar’Che Kuffar O Mushrikeen Ki Tarez O Tashne Se Muta’alik Hai, Magar Isme Daur E Zadid Ki Aham Or Hairat Angej Aezad MOBILE Or Telephone Ki Janib Bhi Ishara Hai-

🔵 علامه احمد بن محمد غمارى حسنى 

likhte Hain:

🕋Allahﷻ Ka Qaul🕋

وَيَقْذِفُونَ بِالْغَيْبِ مِن مَّكَانٍ بَعِيدٍ

 Is Ayat me Isi Telephone’ Mobile Ki Taraf Ishara Hai-

Iske Alawa Ye In Ahadees Se Bhi Sabit Hain-

Jinme Zamane Ke Qareeb Hojane Ke Baham Milne Ki Wajah Se Zameen Lipat Gai Hai, Isi Tarah Awazo Ke Ek Sahar Se Dosre Sahar me Pohanchne me Ek Hi Sa’at me Ek Gosa Se Dusre Gosa Tak Jane se Se Goya Zamana Lipat Gaya…

Rasool ﷺ ne Irshad Farmaya:

إن من أشراط الساعة أن يفشو المال ويكثر  و تفشر التجارة و يظهر العلم و يبيع الر جل البيع فيقول: 

لا حتى أستأ مر تاجر بنى فلان.”

Qayamat Ki Nishaniyo me Se Ye Bhi Hai Ke Maal Phail Jayeega Or Kasrat Hogi، Tejarat Aam Hojayegi, ilm Jahir Hoga Or Koi Shaks (بيع) Kharid O Farokhat Karega To Kahega:

Tharho Pahle Main Dusre Jagah Ke Tajiro Se Mashwara Karlu-

(📖 اسلام اور عصرى ايجادات، ص، ٤٨،٤٩، مطبوعه اسلامك پبليشر، New Delhi)

Ye Hamara Or Aap Ka Mosahda Hai Ke Bade Bade Tajir Jab Koi Kharid O Farokhat Karte Hain to Telephone, Mobile Ke Zarya Apne Dusre Saathiyo Se Jo Kisi Dusre City me Hote Hain Unse Mashwara Karte Hain Ke Kahi Bhao Kamm Ya Zyada Na Hogaya Hoga-

Ye Iske Sarek ne Iske Maal Ka Sauda Kisi Or Se Na Kar Liya Ho، Etc…

Ab Is Tajir Ke Liye Jo os Tajir Se Door Baitha Hai Ya Kisi Or Elaqa Ya Kisi Or Sahar me Hai،

Isse Kharid O Farokhat Karte Waqt Mashwara Karna Siwaye Telephone, Or Mobile Or Telegram Ke Kisi Or Chij Se Mumkin Nahi Hai…

To Aap Logo ne Padha Mobile Ka Zikr Quran me Bhi Hai Or Hadees me Bhi Alhamdulillah 

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

12 − three =

Back to top button