saalar-e-sahaaba, wo pahla khalifa LYRICS
parwaane ko charaag to bulbul ko phool bas siddeeq ke liye KHuda ka rasool bas
mustafa ka ham-safar, abu bakar, abu bakar gali-gali, nagar-nagar, abu bakar, abu bakar lutaaya jisne apna ghar, abu bakar, abu bakar ahesaan jiska deen par, abu bakar, abu bakar hei.n charche jiske ‘arsh par, abu bakar, abu bakar lagega naara farsh par, abu bakar, abu bakar
saalar-e-sahaaba, wo pahla khalifa sarkaar ka pyaara, siddiq hamaara
har sunni ka naara siddiq hamaara
duniya-e-sadaaqat mei.n tera naam rahega siddiq tere naam se islaam rahega
saalar-e-sahaaba, wo pahla khalifa
sarkaar ka pyaara, siddiq hamaara har sunni ka naara siddiq hamaara
siddiq ke gustaakh se to jang rahegi jo inse jalega wahi na-kaam rahega
saalar-e-sahaaba, wo pahla khalifa sarkaar ka pyaara, siddiq hamaara
har sunni ka naara siddiq hamaara
be-laus mohabbat ka sila khoob mila hai ta-hashr muhammad ke sang aaraam rahega
saalar-e-sahaaba, wo pahla khalifa sarkaar ka pyaara, siddiq hamaara
har sunni ka naara siddiq hamaara
har nasi tere kaam ki tajdeed karegi jab tak rahegi duniya tera naam rahega
saalar-e-sahaaba, wo pahla khalifa sarkaar ka pyaara, siddiq hamaara har sunni ka naara siddiq hamaara
siddiq ke baagi to sada rote raheinge khush aashiq-e-siddiq sub.h-o-shaam rahega
saalar-e-sahaaba, wo pahla khalifa sarkaar ka pyaara, siddiq hamaara
har sunni ka naara siddiq hamaara
siddiq ki bai’at ki jo hasanain-o-‘ali ne taarikhi faisala to sar-e-‘aam rahega
saalar-e-sahaaba, wo pahla khalifa sarkaar ka pyaara, siddiq hamaara
har sunni ka naara siddiq hamaara
as.haab-e-nabi, aa’l-e-nabi, deen ki pehchaan jo dil ka hai andha wahi gumnaam rahega
saalar-e-sahaaba, wo pahla khalifa sarkaar ka pyaara, siddiq hamaara
har sunni ka naara siddiq hamaara
har ahad pe siddiq ka ahesaan Ujagar
baa’d-az nabi siddiq ka ikraam rahega
saalar-e-sahaaba, wo pahla khalifa
sarkaar ka pyaara, siddiq hamaara
har sunni ka naara siddiq hamaara