SHAAH E KAUNAIN JALWANUMA HOGAYA LYRICS
Shaah-e-Kaunain Jalwa Numaa Ho Gaya
Rañg ‘Aalam Ka Bilkul Naya Ho Gaya
Muntakhab Aap Ki Zaat-e-Waala Huwi
Naam-e-Paak Aap Ka Mustafa ﷺ Ho Gaya
Mil Gaya Tujh Se Allah Ka Raasta
Haq Se Milne Ka Tu Waasta Ho Gaya
Aap Wo Noor-e-Haq Haiñ Ke Qur-aan Meiñ
Wasf Rukh Aap Ka وَ الضُّـحٰی Ho Gaya
Aisa Aizaaz Kis Ko Khuda Ne Diya
Jaisa Baala Tera Martaba Ho Gaya
Laa-Makaañ Meiñ Bulaaya Khuda Ne Tujhee
‘Arsh-o-Kursi Se Bhi Tu Waraa Ho Gaya
Aisi Naafiz Tumhaari Hukoomat Huwi
Tum Ne Jis Waqt Jo Kuchh Kaha Ho Gaya
Mah Do Paara Huwa Sooraj Ultaa Phira
Jab Ishaara Tumhaara Zara Ho Gaya
Kun Ki Kunji Na Kyuñ Kar Ho Teri Zubaañ
Hukm-e-Rahman Tera Kaha Ho Gaya
Lab-e-‘Eesa Se Zaahir Tha Jo Mo’jza
Teri Thokar Se Maula Adaa Ho Gaya
Sair Kar Jaayeiñ Aa Kar Janaab-e-Maseeh
Shehr-e-Taiba Bhi Daar-ush-Shifa Ho Gaya
Khaak-e-Rauza Ki کُـحْـلُ الْـجَـوَ اہِـر Huwi
Taaj-e-Shaahañ Tera Naqsh-e-Paa Ho Gaya
Aatish-e-‘Ishq-e-Maula Se Jo Dil Tapaa
Mail Se Saaf Ho Kar Kharaa Ho Gaya
Jis Ne Nazzara-e-Sabz Gumbad Kiya
Us Ka Poora Har Ik Mud-da’a Ho Gaya
Ham Bhi Taiba Ko Ud Jaayeiñge Ek Din
Naaz Kyuñ Tujh Ko Baad-e-Saba Ho Gaya
Tere Hi Noor Se Donoñ ‘Aalam Bane
Tu Hi To Ibtidaa Intihaa Ho Gaya
Us Ne Wallah Allah Ko Paa Liya
Jo Koi Tujh Pe Dil Se Fida Ho Gaya
Haq Ta’ala Ka Wo Banda-e-Khaas Hai
Sachhe Dil Se Jo Banda Tera Ho Gaya
Paar Gardaab-e-‘Isyaañ Se Kyuñ Kar Na Ho
Jis Ki Kashti Ka Tu Naakhuda Ho Gaya
Tere Sadqe Ke Har Dard-o-Gham Meiñ Tu Hi
Naam Lewoñ Ka Mushkil Kushaa Ho Gaya
Naam-e-Naami Tera Naam-e-Haq Ya Nabi ﷺ
Naatawaanoñ Ke Haq Meiñ Asaa Ho Gaya
Us Ko Fursat Gham-e-Do Jahaañ Se Mili
Jo Bhi Dil Se Ghulaam Aap Ka Ho Gaya
Roo-siyaahoñ Ko Koi Nahiñ Poochhta
Haañ Bharosa Teri Zaat Ka Ho Gaya
‘Aasiyoñ Ka Nahiñ Koi Pursaan-e-Haal
Ik Sahara Faqat Aap Ka Ho Gaya
Roz-e-Mahshar Har Ik Naam Lewa Tera
Ik Ishare Meiñ Tere Rihaa Ho Gaya
Lo Mubaarak Tumhaare Liye ‘Aasiyo !
Baab-e-Rahmat Muhammad ﷺ Ka Waa Ho Gaya
Khalq Kyuñ Kar Na Us Ko Kahe Taajdaar
Jo Tere Aastaañ Ka Gadaa Ho Gaya
Sarwaroñ Ki Usay Sarwari Mil Gayi
Tere Rauze Pe Jo Sar Fida Ho Gaya
Kyuñ Na Haasil Ho Usko Hayaat-e-Abad
Rauza-e-Paak Par Jo Fanaa Ho Gaya
Ya Nabi ﷺ Teri Chawkhat Pe ‘Ush-shaaq Ko
Maut Aur Zindagi Ka Mazaa Ho Gaya
Kuchh Bashar Hi Nahiñ Balke Jinn-o-Malak
Sab Ko Sadqa Tumhaara ‘Ataa Ho Gaya
Waah Waa Teri ‘Izzat, Ke Tere Sabab
Teri Ummat Pe Fazl-e-Khuda Ho Gaya
Naam Tera Shahaa Har Maraz Ke Liye
Naam Lewoñ Ko Tere Dawaa Ho Gaya
Daagh-e-Ulfat Ki Aisi Badhi Taazgi
Zakhm Dil Ka Hamaare Hawaa Ho Gaya
Gor Meiñ Hashr Meiñ Daagh-e-‘Ishq Nabi ﷺ
Ghairat-e-Shams-o-Badr-ud-Dujaa Ho Gaya
Naam Tera Dam-e-Naz’a Jis Ne Liya
Us Ka Imaan Par Khaatima Ho Gaya
Dushman-o-Dost Muflis Ghareeb-o-Ameer
Tere Sadqe Meiñ Sab Ka Bhalaa Ho Gaya
‘Ilm-e-Ghaib-e-Nabi ﷺKa Jo Munkir Huwa
Qahr-e-Qahhar Meiñ Mubtilaa Ho Gaya
Dekh Aaina Najdi Ke Tauheen Se
Tera Chehraa To Ulta Tawaa Ho Gaya
Naaz Kar Ae Jameel Apni Qismat Pe Tu
Khaak-e-Na’lain-e-Ahmad Raza Ho Gaya