TU SHAMME RISALAT HAIN (WITH TAZMEEN) LYRICS
Qurban tere kadmo par aye jaane masi Hana
Kham hai tere abro me wo taaj sulemana
Har ek ne tujhe apna sardar shaha mana
Tu shame Risaalat hai aalam tera parwana
Tu maahe Nubuwwat hai aye jalwa e janana
Madhosh hue Gulshan rangat ko gulab uthe
Shamso qamar o anjum pane ko wo tab uthe
Husnan jaha dar par lene ko shabab uthe
Jo saaqi e kausar ke chehre se naqaab uthe
Har dil bane maikhaana har aankh ho paimana
Andaaz tera digar aadat bhi juda thehri
Bargosh jo aasi ke jau ka sada thehri
Bimaar mohabbat ki bas ek baka thehri
Is dar ki huzoori hi isyaan ki dawaa thehri
Hai zehr e ma’aasi ka taiba hi shifakhaana
Mashoor Zamana hai Aye Afz afu teri
Balao se bala hai wo shan e ulu teri
Karta hai sana har gul hokar ba wazu teri
Har phool mein boo teri har sham’a mein zau teri
Bulbul hai tera bulbul parwana hai parwana
Abu bakro umar ka to usman ka haidar ka
Khwaja ki chati ka to baghdad ke langar ka
Bekhud me hua khakar tukda mere akhtar ka
Peete hain tere dar ka khaate hain tere dar ka
Paani hai tera paani dana hai tera dana
Darbar e nabi hai ye hai zaat me yaktaee
Usshak ye kya kaaba karta hai jabee saee
Chakkar me padi hai kyu najdi teri beenayi
Sang e darey jaanaan par karta hoon jabeen saayi
Sajda na samajh najdi sar deta hoon nazrana
Duniya ki Mohabbat me kya khoya kise paya
Bakhshish ki zamanat ka parwana tabhi paya
Khakar ke me thokar ab moula tere dar aaya
Gir pad ke yahaan pahuncha mar mar ke ise paaya
Choote na Ilaahi ab sange darey janana
Weeranaye dee me bhi gulshan jo mehekte kuch
Benala ube afga hum jaise hai mangte kuch
Ho chashme tawajju agar hum pe to machalte kuch
Wo kehte na kehte kuchh wo karte na karte kuchh
Aye kaash wo sun lete mujh se mere afsana
Waliyo se kurabat hai gustakh se hai doori
Sarkar e raza ka sab faizan hai ye razvi
Padhta hai bayat ke pai hum aye qadri har sunni
Sarkaar ke Jalwon se Roushan hai dil e Noori
Ta hashr rahe roushan Noori ka ye Kashana
Yu Thamke Daman Ko Machla Hai Sare Mehshar
Dekhe Koi Akhtar ka Ye Naaz Gulamana