WOHI RAB HAI JISNE TUJHKO LYRICS
Wohi Rab hay jisne tujh ko hamatan karam banaaya
Hamein bheek maangney ko tera aastaan bataaya
Tujhe hamd hay Khudaaya
Tumhin haakim e baraayaa tumhin qaasim e ‘atayaa
Tumhin daaf’ e balaayaa tumhin shaaf’ e khataaya
Koi tum saa kaun aaya
Woh kunwaari paak Maryam woh nafakhtofeeh kaa dam
Hay ‘ajab nishaan e a’azam magar Aamina ka jaaya
Wohi sab sey afzal aaya
Yahi boley sidrah waale chaman e jahaan key thaaley
Sabhi mein ney chaan daley tere paaye kaa nah paaya
Tujhe yak ney yak banayaa
Fa izaa faraghta fan sab y eh mila hay tum ko mansab
Jo gadaa bana chuke ab, uttho waqt e bakhshish aaya
Karo qismat e ‘ataayaa
Wa Halilaahi farghab karo ‘arz sab key matlab
Key tumhin ko takte hain sab karo un par apnaa saaya
Bano shaaf’ e khataayaa
Arey aay Khuda key bando! koi mere dil ko dhoondo
Mere pass thaa abhi to abhi kya huwa Khudaayaa
Naa koi gaya nah aaya
Hamein aay Raza tere dil kaa pataa chalaa ba mushkil
Dar e rozah key muqaabil woh hamein nazar toh aaya
Yeh nah pooch kaisa paayaa
Kabhi khandah zer lab hay kabhi giryaa saari shab hay
Kabhi gham kabhi tarab hay nah sabab samajh mein aayaa
Nah usi ney kuch bataayaa
Kabhi khaak par paraa hay sar e charkh zer e paa hay
Kabhi pesh e dar khara hay sar e bandagi jhukaayaa
Tu qadam mein ‘arsh paayaa
Kabhi woh tapak key aatish kabhi woh tapak key baarish
Kabhi woh hujoom e naalish koi jaane abr chaaya
Bari joshishon sey aaya
Kabhi woh chehek key bulbul kabhi woh mehek key khud gul
Kabhi woh lehek key bilkul chaman e jinaan khilaaya
Gul e quds lehlahaayaa
Kabhi zindagi key armaan kabhi margh e nau ka khwaahaan
Woh jiyaa key marg qurbaan woh mawaa key zeest laaya
Kahe rooh haan jilaayaa
Kabhi gum kabhi ‘iyaan hay kabhi sard gah tapaan hay
Kabhi zer e lab faghaan hay kabhi chup key dam nah thaayaa
Rukh e kaam jaan dikhaayaa
Yeh tassawwuraat e baatil tere aage kya hain mushkil
Teri qudratein hain kaamil unhein raast kar Khudaaya
Mein unhein shafee’ laayaa..