Ye Kaisi Maslihat Jo Buzdil Banae
*Tu Banda-e-Afaq Hai, Wo Sahib-e-Afaq*
Hind mein Musalmanon par arsa-e-hayat tang kiya ja raha hai. Rasool Allah ﷺ ki namoos pak mein har din nai nai tauheen o gustakhi ka irtikab ho raha hai. Asnaam paraston ne pakeeza seeraton mein nuqs nikalne ki naamurad koshishen jari rakhi hain. Wo jab chahtay hain zehar ugal dete hain. Islami istilah “Jihad” par lagataar attack hai. Iske tamaskhur mein kabhi land jihad, kabhi love jihad, kabhi vote jihad ka istemal kar ke Islam ke pakeeza nizam-e-jihad ko nishana banaya jata hai.
Musalmanon ke aaily qawaneen, shari hudood, muashrati o saqafati amoor par lagataar hamlay kiye ja rahe hain. Ye sab hukoomat ki sarbarahi mein kiya ja raha hai. Hatta ke Musalmanon ki mazhabi azadi mein rukhnah andazi ke liye qanoon paas kiye ja rahe hain. Bunyadi huqooq par daakay daale ja rahe hain.
In halat mein bhi baaz tabqay, idaray, tehreekain aisi hain jo maslihat ki chadar odh kar har zulm par khamosh hain. Iqtedar ke aage sarngoon hain. Zabanon par talay lage huay hain. Azadi-e-izhar-e-raai ko bhi nazr-e-zulm kar baithe hain. Sach nahi kehte. Naam Islami, maqsad tabligh-e-deen aur namoos-e-risalat ﷺ mein tauheen par beghairti o khamoshi!!
Ek tabqa wo hai jo namaz ki dawat deta hai. Chay baton ki tabligh karta hai; inhein bhi kali ghataon ko nahi pehchanna aata. Inhein bhi Islami shaar ki tauheen bardasht hai!! Magar majaal hai ke zalim ke khilaf kuch izhar kar saken!! Darjanon maqamat par tareekhi masajid ko ghair qanooni tareeqe se (1991 ke *The Place of Worship Act* ko nazar andaz kar ke) khatam karne ki muhim jari hai, majaal hai ke “maslihat pasand” halqa junbish lab kushai kar sake! Apne huqooq ke liye awaaz buland kar sake!
Wo humare aslaaf they jo zalim hukmaranon ke samne kalima-e-haq bar-mala kehte they. Wo humare aslaaf they jo haq ki padosh mein shahadat qubool kar lete they magar “sach” se roogardani nahi karte they. Wo Hazrat Bilal they jo zulm ke muqabil kalima-e-haq buland karte. Wo Hazrat Jafar bin Abi Talib they jo Shah-e-Najashi ke roobaru haqqaniyat-e-Islam ka naara buland kar rahe they. Wo Hazrat Rabi bin Amir they jo Salar-e-Rome ke roobaru haq bayan they. Wo Hazrat Salman Farsi they jo Ewan-e-Fars mein haq bar-mala keh rahe they. Wo Imam Hussain they jo zalim Yazidiyon ke roobaru hifz-e-shariat ka fareeza anjam de rahe they. Wo Hazrat Imam Ahmed Ibn Hanbal they jo zulm o aseeri sahne ko iqtedar ke aage jhukne par tarjeeh dete they. Wo Imam Rabbani Sheikh Ahmed Farooqi they jo ilhad-e-Akbari ke muqabil seena sipar they.
Aaj ke maslihat pasand hain jo zulm ke khilaf khamosh hain. Jo iqtedar ke aage khameeda hain. Jo har sitam bardasht kar jaate hain hatta ke ghairton aur hamiyaton ka qatal bhi jehel lete hain:
**Is mard-e-khuda se koi nisbat nahi tujh ko
Tu banda-e-afaq hai, wo sahib-e-afaq**
Credit :
Noori Mission Malegaon
Join Whatsapp Channel